raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the | रानाई-ए-कौनैन से बे-ज़ार हमीं थे

  - Ehsan Danish

raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the
ham the tire jalvo ke talabgaar humeen the

hai farq talabgaar o parastaar mein ai dost
duniya thi talabgaar parastaar humeen the

is banda-nawaazi ke tasadduq sar-e-mahshar
goya tiri rahmat ke saza-waar humeen the

de de ke nigaahon ko tasavvur ka sahaara
raaton ko tire vaaste bedaar humeen the

bazaar-e-azl yun to bahut garm tha lekin
le de ke mohabbat ke khareedaar humeen the

khatke hain tire saare gulistaan ki nazar mein
sab apni jagah phool the ik khaar humeen the

haan aap ko dekha tha mohabbat se humeen ne
jee saare zamaane ke gunahgaar humeen the

hai aaj vo soorat ki banaaye nahin banti
kal naqsh-e-do-aalam ke qalamkaar humeen the

pachtayoge dekho hamein begaana samajh kar
maanoge kisi waqt ki gham-khwaar humeen the

arbaab-e-watan khush hain hamein dil se bhula kar
jaise nigaah o dil pe bas ik baar humeen the

ehsaan hai be-sood gila un ki jafaa ka
chaaha tha unhen ham ne khata-waar humeen the

रानाई-ए-कौनैन से बे-ज़ार हमीं थे
हम थे तिरे जल्वों के तलबगार हमीं थे

है फ़र्क़ तलबगार ओ परस्तार में ऐ दोस्त
दुनिया थी तलबगार परस्तार हमीं थे

इस बंदा-नवाज़ी के तसद्दुक़ सर-ए-महशर
गोया तिरी रहमत के सज़ा-वार हमीं थे

दे दे के निगाहों को तसव्वुर का सहारा
रातों को तिरे वास्ते बेदार हमीं थे

बाज़ार-ए-अज़ल यूँ तो बहुत गर्म था लेकिन
ले दे के मोहब्बत के ख़रीदार हमीं थे

खटके हैं तिरे सारे गुलिस्ताँ की नज़र में
सब अपनी जगह फूल थे इक ख़ार हमीं थे

हाँ आप को देखा था मोहब्बत से हमीं ने
जी सारे ज़माने के गुनहगार हमीं थे

है आज वो सूरत कि बनाए नहीं बनती
कल नक़्श-ए-दो-आलम के क़लमकार हमीं थे

पछताओगे देखो हमें बेगाना समझ कर
मानोगे किसी वक़्त कि ग़म-ख़्वार हमीं थे

अरबाब-ए-वतन ख़ुश हैं हमें दिल से भुला कर
जैसे निगह ओ दिल पे बस इक बार हमीं थे

'एहसान' है बे-सूद गिला उन की जफ़ा का
चाहा था उन्हें हम ने ख़ता-वार हमीं थे

  - Ehsan Danish

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari