ab kaho kaarwaan kidhar ko chale | अब कहो कारवाँ किधर को चले

  - Ehsan Danish

ab kaho kaarwaan kidhar ko chale
raaste kho gaye charaagh jale

aansuon mein naha gaeein khushiyaan
rooth kar jab vo aa lage hain gale

ishq gham ko uboor kar na saka
raaste kaarwaan ke saath chale

ham pe guzri hain hijr ki raatein
ham jahannam mein the magar na jale

the mohabbat ki ibtida ke qusoor
vo tabassum jo aansuon mein dhale

khaak se saikdon uge khurshid
hai andhera magar charaagh-tale

chaand saakit hai ruk gaye taare
ab vo aayein to gham ki raat dhale

may-kade ka to zikr bhi hai gunaah
ab hayaat-e-haram padi hai gale

pursish-e-haal ka jawaab tha kya
hans pade ham ki jald baat tale

अब कहो कारवाँ किधर को चले
रास्ते खो गए चराग़ जले

आँसुओं में नहा गईं ख़ुशियाँ
रूठ कर जब वो आ लगे हैं गले

इश्क़ ग़म को उबूर कर न सका
रास्ते कारवाँ के साथ चले

हम पे गुज़री हैं हिज्र की रातें
हम जहन्नम में थे मगर न जले

थे मोहब्बत की इब्तिदा के क़ुसूर
वो तबस्सुम जो आँसुओं में ढले

ख़ाक से सैंकड़ों उगे ख़ुर्शीद
है अंधेरा मगर चराग़-तले

चाँद साकित है रुक गए तारे
अब वो आएँ तो ग़म की रात ढले

मय-कदे का तो ज़िक्र भी है गुनाह
अब हयात-ए-हरम पड़ी है गले

पुर्सिश-ए-हाल का जवाब था क्या
हँस पड़े हम कि जल्द बात टले

  - Ehsan Danish

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari