bakhsh di haal-e-zaboon ne jalwa-saamaani mujhe | बख़्श दी हाल-ए-ज़बूँ ने जल्वा-सामानी मुझे - Ehsan Danish

bakhsh di haal-e-zaboon ne jalwa-saamaani mujhe
kaash mil jaaye zamaane ki pareshaani mujhe

ai nigaah-e-dost ai sarmaaya-daar-e-be-khudi
hosh aata hai to hoti hai pareshaani mujhe

khul chuka haan khul chuka dil par tira rangeen fareb
de na dhoka ai tilism-e-hasti-e-faani mujhe

phir na saabit ho kahi nang-e-bayaabaan jism-e-raaz
soch kar karna junoon maail ye uryaani mujhe

muntaha-e-zauq-e-sajda ye ki ik fareb
kufr tak le aayi takmeel-e-muslmaani mujhe

manzilon ehsaan peeche rah gaye dair o haram
le chala jaane kahaan sailaab-e-hairaani mujhe

बख़्श दी हाल-ए-ज़बूँ ने जल्वा-सामानी मुझे
काश मिल जाए ज़माने की परेशानी मुझे

ऐ निगाह-ए-दोस्त ऐ सरमाया-दार-ए-बे-ख़ुदी
होश आता है तो होती है परेशानी मुझे

खुल चुका हाँ खुल चुका दिल पर तिरा रंगीं फ़रेब
दे न धोका ऐ तिलिस्म-ए-हस्ती-ए-फ़ानी मुझे

फिर न साबित हो कहीं नंग-ए-बयाबाँ जिस्म-ए-राज़
सोच कर करना जुनूँ माइल ये उर्यानी मुझे

मुंतहा-ए-ज़ौक़-ए-सज्दा ये कि इक फ़रेब
कुफ़्र तक ले आई तक्मील-ए-मुस्लमानी मुझे

मंज़िलों 'एहसान' पीछे रह गए दैर ओ हरम
ले चला जाने कहाँ सैलाब-ए-हैरानी मुझे

- Ehsan Danish
0 Likes

Bekhudi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Bekhudi Shayari Shayari