hujoom-e-ranj se dil ko masarrat hoti jaati hai
ki mujh par aaina apni haqeeqat hoti jaati hai
ye kis ta'meer-e-naaqis ki bhari jaati hain buniyaadein
ki duniya be-charaagh-e-aadmiyat hoti jaati hai
vo be-parda hareem-e-shaayari mein aate jaate hain
murattab meri taareekh-e-mohabbat hoti jaati hai
main jitna un ke asbaab-e-jafaa par ghaur karta hoon
mujhe apni wafaon par nadaamat hoti jaati hai
b-ein haalaat-e-maayusi b-ein ausaaf-e-mehroomi
mohabbat hai ki muhtaaj-e-mohabbat hoti jaati hai
zabaan si len tire kehne se lekin is ko kya kijeye
shikaayat jab nahin hoti hikaayat hoti jaati hai
hai mera ishq yak dar-geer mohkam-geer se baala
meri nazaron mein duniya khoobsurat hoti jaati hai
are tauba gunaahon ke siyah-khwabon se bedaari
ki aankhen khulti jaati hain nadaamat hoti jaati hai
yoonhi tajdeed-e-paimaan-e-wafa kijeye mere ham-dam
badi aasaan tashreeh-e-mohabbat hoti jaati hai
mohabbat rafta rafta dhal rahi hai waza-daari mein
ye kis raftaar se barpa qayamat hoti jaati hai
jise tasveer kehna kufr hai aaeen-e-ulft mein
wahi tanveer ma'bood-e-mohabbat hoti jaati hai
maal-e-ranj-o-raahat dekhta jaata hai dil jitna
tamannaa maawra-e-ranj-o-raahat hoti jaati hai
na ho mere na tum mujh ko kisi ka hone dete ho
qayamat kya ye bala-e-qayaamat hoti jaati hai
behem-dillaah main ehsaan is manzil pe aa pahuncha
museebat jab nahin hoti museebat hoti jaati hai
हुजूम-ए-रंज से दिल को मसर्रत होती जाती है
कि मुझ पर आइना अपनी हक़ीक़त होती जाती है
ये किस ता'मीर-ए-नाक़िस की भरी जाती हैं बुनियादें
कि दुनिया बे-चराग़-ए-आदमियत होती जाती है
वो बे-पर्दा हरीम-ए-शाइ'री में आते जाते हैं
मुरत्तब मेरी तारीख़-ए-मोहब्बत होती जाती है
मैं जितना उन के अस्बाब-ए-जफ़ा पर ग़ौर करता हूँ
मुझे अपनी वफ़ाओं पर नदामत होती जाती है
ब-ईं हालात-ए-मायूसी ब-ईं औसाफ़-ए-महरूमी
मोहब्बत है कि मुहताज-ए-मोहब्बत होती जाती है
ज़बाँ सी लें तिरे कहने से लेकिन इस को क्या कीजे
शिकायत जब नहीं होती हिकायत होती जाती है
है मेरा इश्क़ यक दर-गीर मोहकम-गीर से बाला
मिरी नज़रों में दुनिया ख़ूबसूरत होती जाती है
अरे तौबा गुनाहों के सियह-ख़्वाबों से बेदारी
कि आँखें खुलती जाती हैं नदामत होती जाती है
यूँही तज्दीद-ए-पैमान-ए-वफ़ा कीजे मिरे हम-दम
बड़ी आसान तशरीह-ए-मोहब्बत होती जाती है
मोहब्बत रफ़्ता रफ़्ता ढल रही है वज़ा-दारी में
ये किस रफ़्तार से बरपा क़यामत होती जाती है
जिसे तस्वीर कहना कुफ़्र है आईन-ए-उल्फ़त में
वही तनवीर मा'बूद-ए-मोहब्बत होती जाती है
मआल-ए-रंज-ओ-राहत देखता जाता है दिल जितना
तमन्ना मावरा-ए-रंज-ओ-राहत होती जाती है
न हो मेरे न तुम मुझ को किसी का होने देते हो
क़यामत क्या ये बाला-ए-क़यामत होती जाती है
बेहम-दिल्लाह मैं 'एहसान' इस मंज़िल पे आ पहुँचा
मुसीबत जब नहीं होती मुसीबत होती जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Danish
our suggestion based on Ehsan Danish
As you were reading Ulfat Shayari Shayari