jab rukh-e-husn se naqaab utha
ban ke har zarra aftaab utha
doobi jaati hai zabt ki kashti
dil mein toofaan-e-iztiraab utha
marne waale fana bhi parda hai
uth sake gar to ye hijaab utha
shaahid-e-may ki khalvaton mein pahunch
pardaa-e-nashsha-e-sharaab utha
ham to aankhon ka noor kho baithe
un ke chehre se kya naqaab utha
aalam-e-husn-e-saadgi tauba
ishq kha kha ke pech-o-taab utha
hosh naqsh-e-khudi hai ai ehsaan
la utha sheesha-e-sharaab utha
जब रुख़-ए-हुस्न से नक़ाब उठा
बन के हर ज़र्रा आफ़्ताब उठा
डूबी जाती है ज़ब्त की कश्ती
दिल में तूफ़ान-ए-इज़्तिराब उठा
मरने वाले फ़ना भी पर्दा है
उठ सके गर तो ये हिजाब उठा
शाहिद-ए-मय की ख़ल्वतों में पहुँच
पर्दा-ए-नश्शा-ए-शराब उठा
हम तो आँखों का नूर खो बैठे
उन के चेहरे से क्या नक़ाब उठा
आलम-ए-हुस्न-ए-सादगी तौबा
इश्क़ खा खा के पेच-ओ-ताब उठा
होश नक़्स-ए-ख़ुदी है ऐ 'एहसान'
ला उठा शीशा-ए-शराब उठा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Danish
our suggestion based on Ehsan Danish
As you were reading Jalwa Shayari Shayari