wafaayein kar ke jafaon ka gham uthaaye ja | वफ़ाएँ कर के जफ़ाओं का ग़म उठाए जा

  - Ehsan Danish

wafaayein kar ke jafaon ka gham uthaaye ja
isee tarah se zamaane ko aazmaaye ja

kisi mein apni sifat ke siva kamaal nahin
jidhar ishaara-e-fitrat ho sar jhukaaye ja

vo lau rabaab se nikli dhuaan utha dil se
wafa ka raag isee dhun mein gungunaaye ja

nazar ke saath mohabbat badal nahin sakti
nazar badal ke mohabbat ko aazmaaye ja

khudi-e-ishq ne jis din se khol deen aankhen
hai aansuon ka taqaza ki muskuraaye ja

nahin hai gham to mohabbat ki tarbiyat naqis
hawadis aayein to narmi se pesh aaye ja

thi ibtida mein ye taadeeb-e-muflisi mujh ko
ghulaam rah ke ghulaami pe muskuraaye ja

badal na raah khird ke fareb mein aa kar
junoon ke naqsh-e-qadam par qadam badhaaye ja

ummeed o yaas mein jeena hai ishq ka maqsood
isee maqaam-e-muqaddas pe tilmilaaye ja

chaman mein furqat o taskin hai maut ka paighaam
sukoon pasand na kar aashiyaan banaaye ja

yahi hai lutf-e-mohabbat yahi hai kaif-e-hayaat
haqeeqaton ki bina par fareb khaaye ja

wafa ka khwaab hai ehsaan khwaab-e-be-taabeer
wafaayein kar ke muqaddar ko aazmaaye ja

वफ़ाएँ कर के जफ़ाओं का ग़म उठाए जा
इसी तरह से ज़माने को आज़माए जा

किसी में अपनी सिफ़त के सिवा कमाल नहीं
जिधर इशारा-ए-फ़ितरत हो सर झुकाए जा

वो लौ रबाब से निकली धुआँ उठा दिल से
वफ़ा का राग इसी धुन में गुनगुनाए जा

नज़र के साथ मोहब्बत बदल नहीं सकती
नज़र बदल के मोहब्बत को आज़माए जा

ख़ुदी-ए-इश्क़ ने जिस दिन से खोल दीं आँखें
है आँसुओं का तक़ाज़ा कि मुस्कुराए जा

नहीं है ग़म तो मोहब्बत की तर्बियत नाक़िस
हवादिस आएँ तो नरमी से पेश आए जा

थी इब्तिदा में ये तादीब-ए-मुफ़लिसी मुझ को
ग़ुलाम रह के ग़ुलामी पे मुस्कुराए जा

बदल न राह ख़िरद के फ़रेब में आ कर
जुनूँ के नक़्श-ए-क़दम पर क़दम बढ़ाए जा

उम्मीद ओ यास में जीना है इश्क़ का मक़्सूद
इसी मक़ाम-ए-मुक़द्दस पे तिलमिलाए जा

चमन में फ़ुर्सत ओ तस्कीं है मौत का पैग़ाम
सुकूँ पसंद न कर आशियाँ बनाए जा

यही है लुत्फ़-ए-मोहब्बत यही है कैफ़-ए-हयात
हक़ीक़तों की बिना पर फ़रेब खाए जा

वफ़ा का ख़्वाब है 'एहसान' ख़्वाब-ए-बे-ताबीर
वफ़ाएँ कर के मुक़द्दर को आज़माए जा

  - Ehsan Danish

Nazakat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Nazakat Shayari Shayari