apni ruswaai ka ehsaas to ab kuch bhi nahin | अपनी रुस्वाई का एहसास तो अब कुछ भी नहीं - Ehsan Danish

apni ruswaai ka ehsaas to ab kuch bhi nahin
hont hi sun hain khamoshi ka sabab kuch bhi nahin

ye ujaalon ke jazeera ye saraabo ke dayaar
sehr-o-afsoun ke siva jashn-e-tarab kuch bhi nahin

bah gaye waqt ke sailaab mein jismoon ke suhaag
ab na vo chashm na rukhsaar na lab kuch bhi nahin

reza reza hai kisi khwaab-e-zar-afshan ka tilism
fasl-e-gul anjum-o-mahtaab ye sab kuch bhi nahin

mere aansu inhen karte hain ujaagar kuch aur
pehle jo log sabhi kuch the aur ab kuch bhi nahin

hum pe to subh se raushan thi ye shaam-e-be-kaif
tum ko is shaam se andaaza-e-shab kuch bhi nahin

shehr-e-dil shehr-e-khamaoshaan ki tarah hai gunjaan
kitna aabaad magar shor-o-shaghab kuch bhi nahin

ye jahaan aalam-e-asbaab hai naadaan na bano
kaun maanega tabaahi ka sabab kuch bhi nahin

rang-o-boo gul se mukar jaayen to rehta kya hai
aag bujh jaaye to suraj ka laqab kuch bhi nahin

khol hi khol hai nau-khez dabistaan-e-khayaal
shor hi shor hai takhliq-e-adab kuch bhi nahin

gum raho gum ki yahan jurm hai izhaar-e-kamaal
chup raho chup ki yahan naam-o-nasab kuch bhi nahin

meri takhreeb se yaaron ka bhala kya hoga
meri pounji to b-juz zauq-e-adab kuch bhi nahin

us taraf vaa hai dar-e-rehmat-e-yazdaan daanish
is taraf wusa'at-e-daaman-e-talab kuch bhi nahin

अपनी रुस्वाई का एहसास तो अब कुछ भी नहीं
होंट ही सुन हैं ख़मोशी का सबब कुछ भी नहीं

ये उजालों के जज़ीरे ये सराबों के दयार
सेहर-ओ-अफ़्सूँ के सिवा जश्न-ए-तरब कुछ भी नहीं

बह गए वक़्त के सैलाब में जिस्मों के सुहाग
अब न वो चश्म न रुख़्सार न लब कुछ भी नहीं

रेज़ा रेज़ा है किसी ख़्वाब-ए-ज़र-अफ़शाँ का तिलिस्म
फ़स्ल-ए-गुल अंजुम-ओ-महताब ये सब कुछ भी नहीं

मेरे आँसू इन्हें करते हैं उजागर कुछ और
पहले जो लोग सभी कुछ थे और अब कुछ भी नहीं

हम पे तो सुब्ह से रौशन थी ये शाम-ए-बे-कैफ़
तुम को इस शाम से अंदाज़ा-ए-शब कुछ भी नहीं

शहर-ए-दिल शहर-ए-ख़मोशाँ की तरह है गुंजान
कितना आबाद मगर शोर-ओ-शग़ब कुछ भी नहीं

ये जहाँ आलम-ए-असबाब है नादाँ न बनो
कौन मानेगा तबाही का सबब कुछ भी नहीं

रंग-ओ-बू गुल से मुकर जाएँ तो रहता क्या है
आग बुझ जाए तो सूरज का लक़ब कुछ भी नहीं

ख़ोल ही ख़ोल है नौ-ख़ेज़ दबिस्तान-ए-ख़याल
शोर ही शोर है तख़्लीक़-ए-अदब कुछ भी नहीं

गुम रहो गुम कि यहाँ जुर्म है इज़हार-ए-कमाल
चुप रहो चुप कि यहाँ नाम-ओ-नसब कुछ भी नहीं

मेरी तख़रीब से यारों का भला क्या होगा
मेरी पूँजी तो ब-जुज़ ज़ौक़-ए-अदब कुछ भी नहीं

उस तरफ़ वा है दर-ए-रहमत-ए-यज़्दाँ 'दानिश'
इस तरफ़ वुसअ'त-ए-दामान-ए-तलब कुछ भी नहीं

- Ehsan Danish
0 Likes

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari