parastish-e-gham ka shukriya kya tujhe aagahi nahin | परस्तिश-ए-ग़म का शुक्रिया क्या तुझे आगही नहीं

  - Ehsan Danish

parastish-e-gham ka shukriya kya tujhe aagahi nahin
tere baghair zindagi dard hai zindagi nahin

dekh ke khushk o zard phool dil hai kuchh is tarah malool
jaise meri khizaan ke baad daur-e-bahaar hi nahin

daur tha ik guzar chuka nasha tha ik utar chuka
ab vo maqaam hai jahaan shikwa-e-be-rukhi nahin

ishrat-e-khuld ke liye zahid-e-kaj-nazar jhuke
mashrab-e-ishq mein to ye jurm hai bandagi nahin

tere siva karoon pasand kya tiri kaayenaat mein
dono jahaan ki nematein qeemat-e-bandagi nahin

laakh zamaana zulm dhaaye waqt na vo khuda dikhaaye
jab mujhe ho yaqeen ki tu haasil-e-zindagi nahin

dil ki shaguftagi ke saath raahat-e-may-kadaa gai
fursat-e-may-kashi to hai hasrat-e-may-kashi nahin

ashk-e-ravaan ki aab-o-taab kar na awaam mein kharab
azmat-e-ishq ko samajh giryaa-e-gham hasi nahin

arsa-e-furqat-o-firaq aisa taveel to na tha
bhool rahe ho tum mujhe main koi ajnabi nahin

zakham pe zakham kha ke jee apne lahu ke ghoont pee
aah na kar labon ko si ishq hai dil-lagi nahin

ek vo raat thi ki jab tha mere ghar vo mahtaab
ek ye raat hai ki ab chaand hai chaandni nahin

muzda ki na-muraad-e-ishq teri ghazal ka hai vo rang
vo bhi pukaar uthe ki ye seher hai shaayri nahin

परस्तिश-ए-ग़म का शुक्रिया क्या तुझे आगही नहीं
तेरे बग़ैर ज़िंदगी दर्द है ज़िंदगी नहीं

देख के ख़ुश्क ओ ज़र्द फूल दिल है कुछ इस तरह मलूल
जैसे मिरी ख़िज़ाँ के बाद दौर-ए-बहार ही नहीं

दौर था इक गुज़र चुका नशा था इक उतर चुका
अब वो मक़ाम है जहाँ शिकवा-ए-बे-रुख़ी नहीं

इशरत-ए-ख़ुल्द के लिए ज़ाहिद-ए-कज-नज़र झुके
मशरब-ए-इश्क़ में तो ये जुर्म है बंदगी नहीं

तेरे सिवा करूँ पसंद क्या तिरी काएनात में
दोनों जहाँ की नेमतें क़ीमत-ए-बंदगी नहीं

लाख ज़माना ज़ुल्म ढाए वक़्त न वो ख़ुदा दिखाए
जब मुझे हो यक़ीं कि तू हासिल-ए-ज़िंदगी नहीं

दिल की शगुफ़्तगी के साथ राहत-ए-मय-कदा गई
फ़ुर्सत-ए-मय-कशी तो है हसरत-ए-मय-कशी नहीं

अश्क-ए-रवाँ की आब-ओ-ताब कर न अवाम में ख़राब
अज़्मत-ए-इश्क़ को समझ गिर्या-ए-ग़म हँसी नहीं

अर्सा-ए-फ़ुर्क़त-ओ-फ़िराक़ ऐसा तवील तो न था
भूल रहे हो तुम मुझे मैं कोई अजनबी नहीं

ज़ख़्म पे ज़ख़्म खा के जी अपने लहू के घूँट पी
आह न कर लबों को सी इश्क़ है दिल-लगी नहीं

एक वो रात थी कि जब था मिरे घर वो माहताब
एक ये रात है कि अब चाँद है चाँदनी नहीं

मुज़्दा कि ना-मुराद-ए-इश्क़ तेरी ग़ज़ल का है वो रंग
वो भी पुकार उठे कि ये सेहर है शाइरी नहीं

  - Ehsan Danish

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari