kahaan mehfil mein mujh tak baada-e-gulfaam aata hai | कहाँ महफ़िल में मुझ तक बादा-ए-गुलफ़ाम आता है

  - Ehsan Danish

kahaan mehfil mein mujh tak baada-e-gulfaam aata hai
jo mera naam aata hai to khaali jaam aata hai

na aao tum to phir kyun hichkiyon par hichakiyaan aayein
inhen roko ye kyun paighaam par paighaam aata hai

ye saawan ye ghatta ye bijliyaan ye tootti raatein
bhala aise mein dil waalon ko kab aaraam aata hai

adab ai jazba-e-bebaak ye aah-o-fughaan kaisi
ki aisi zindagi se maut par ilzaam aata hai

madad ai marg-e-naakaami naqahat ka ye aalam hai
badi mushkil se honton tak kisi ka naam aata hai

khuda rakhe tujhe ai sar-zameen-e-shehr-e-khaamoshaan
yahin aa kar har ik bechain ko aaraam aata hai

ma'az-allah meri aankhon ka izhaar-e-tang-zarfi
tapak padte hain aansu jab tumhaara naam aata hai

zamaane mein nahin dil-daada-e-mehr-o-wafa koi
tujhe dhoka hai ai dil kaun kis ke kaam aata hai

कहाँ महफ़िल में मुझ तक बादा-ए-गुलफ़ाम आता है
जो मेरा नाम आता है तो ख़ाली जाम आता है

न आओ तुम तो फिर क्यूँ हिचकियों पर हिचकियाँ आएँ
इन्हें रोको ये क्यूँ पैग़ाम पर पैग़ाम आता है

ये सावन ये घटा ये बिजलियाँ ये टूटती रातें
भला ऐसे में दिल वालों को कब आराम आता है

अदब ऐ जज़्बा-ए-बेबाक ये आह-ओ-फ़ुग़ाँ कैसी
कि ऐसी ज़िंदगी से मौत पर इल्ज़ाम आता है

मदद ऐ मर्ग-ए-नाकामी नक़ाहत का ये आलम है
बड़ी मुश्किल से होंटों तक किसी का नाम आता है

ख़ुदा रक्खे तुझे ऐ सर-ज़मीन-ए-शहर-ए-ख़ामोशाँ
यहीं आ कर हर इक बेचैन को आराम आता है

मआ'ज़-अल्लाह मिरी आँखों का इज़हार‌‌‌-ए-तंग-ज़र्फ़ी
टपक पड़ते हैं आँसू जब तुम्हारा नाम आता है

ज़माने में नहीं दिल-दादा-ए-मेहर-ओ-वफ़ा कोई
तुझे धोका है ऐ दिल कौन किस के काम आता है

  - Ehsan Danish

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari