sang us ka hai aur sar mera
aakhiri mod par hai dar mera
ik chhalaava hai meel ka patthar
ik haqeeqat hai ye safar mera
ai hawao chalo gawaahi do
tum ne dekha hai jalta ghar mera
do ghadi aur mujh ko sun lijye
ab to qissa hai mukhtasar mera
jab zamaana tha meri mutthi mein
kaam aaya bahut hunar mera
main nahin fan-shanaas kahte hain
naam thoda hai mo'tabar mera
bas kisi taur ai miyaan saaqib
ho raha hai guzar-basar mera
संग उस का है और सर मेरा
आख़िरी मोड़ पर है डर मेरा
इक छलावा है मील का पत्थर
इक हक़ीक़त है ये सफ़र मेरा
ऐ हवाओ चलो गवाही दो
तुम ने देखा है जलता घर मेरा
दो घड़ी और मुझ को सुन लीजे
अब तो क़िस्सा है मुख़्तसर मेरा
जब ज़माना था मेरी मुट्ठी में
काम आया बहुत हुनर मेरा
मैं नहीं फ़न-शनास कहते हैं
नाम थोड़ा है मो'तबर मेरा
बस किसी तौर ऐ मियाँ 'साक़िब'
हो रहा है गुज़र-बसर मेरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Saqib
our suggestion based on Ehsan Saqib
As you were reading Education Shayari Shayari