suraj se bhi aage ka jahaan dekh raha hai | सूरज से भी आगे का जहाँ देख रहा है

  - Ehsan Saqib

suraj se bhi aage ka jahaan dekh raha hai
is daur ka insaan kahaan dekh raha hai

haalaat ne jis ke sabhi par kaat diye hain
vo aaj bhi manzil ka nishaan dekh raha hai

ayyaar bahut hai yahan takhreeb ka mojid
vo barf ke jungle mein dhuaan dekh raha hai

ik roz pakad lega vo qaateel ka garebaan
jo waqt ki raftaar zabaan dekh raha hai

sadiyon ke taalluq ka ye ehsaas hai shaayad
sehra mein haqeeqat ko ayaan dekh raha hai

is sar-fire mausam ka bharosa nahin saaqib
maahol ka sab baar-e-garaan dekh raha hai

सूरज से भी आगे का जहाँ देख रहा है
इस दौर का इंसान कहाँ देख रहा है

हालात ने जिस के सभी पर काट दिए हैं
वो आज भी मंज़िल का निशाँ देख रहा है

अय्यार बहुत है यहाँ तख़रीब का मोजिद
वो बर्फ़ के जंगल में धुआँ देख रहा है

इक रोज़ पकड़ लेगा वो क़ातिल का गरेबाँ
जो वक़्त की रफ़्तार ज़बाँ देख रहा है

सदियों के तअल्लुक़ का ये एहसास है शायद
सहरा में हक़ीक़त को अयाँ देख रहा है

इस सर-फिरे मौसम का भरोसा नहीं 'साक़िब'
माहौल का सब बार-ए-गराँ देख रहा है

  - Ehsan Saqib

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Saqib

As you were reading Shayari by Ehsan Saqib

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Saqib

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari