dil-e-barbaad ko chhota sa makaan bhi dega
jab naya zakham bharega to nishaan bhi dega
pehle guzroonga main ummeed o yaqeen ki rah se
phir tira pyaar mujhe wahm-o-gumaan bhi dega
paikar-e-rang jo pal bhar mein bikhar jaayega
jaagti aankhon ko khwaabon ka jahaan bhi dega
tum jalana mujhe chaaho to jala do lekin
nakhl-e-taaza jo jalega to dhuaan bhi dega
waqt deta hai jinhen aaj khilone akhtar
unhin atfaal ko kal teer-o-sinaan bhi dega
दिल-ए-बर्बाद को छोटा सा मकाँ भी देगा
जब नया ज़ख़्म भरेगा तो निशाँ भी देगा
पहले गुज़रूँगा मैं उम्मीद ओ यक़ीं की रह से
फिर तिरा प्यार मुझे वहम-ओ-गुमाँ भी देगा
पैकर-ए-रंग जो पल भर में बिखर जाएगा
जागती आँखों को ख़्वाबों का जहाँ भी देगा
तुम जलाना मुझे चाहो तो जला दो लेकिन
नख़्ल-ए-ताज़ा जो जलेगा तो धुआँ भी देगा
वक़्त देता है जिन्हें आज खिलौने 'अख़्तर'
उन्हीं अतफ़ाल को कल तीर-ओ-सिनाँ भी देगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar
our suggestion based on Ehtisham Akhtar
As you were reading Bachpan Shayari Shayari