kal bhi baarish hui thi
aaj bhi baarish hogi
aur phir
khokhli azmatein
paidal chalti sadkon par
keechad uchaalte hue
hawa ki tarah guzar jaayengi
aaraasta dukaanein
ye tamasha dekhengi
aur hansengi
कल भी बारिश हुई थी
आज भी बारिश होगी
और फिर
खोखली अज़्मतें
पैदल चलती सड़कों पर
कीचड़ उछालते हुए
हवा की तरह गुज़र जाएँगी
आरास्ता दूकानें
ये तमाशा देखेंगी
और हँसेंगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar
our suggestion based on Ehtisham Akhtar
As you were reading Environment Shayari Shayari