baadlon ki tarah kyun
chha gaya hai dil par gham
vo kaun tha jo aaya aur chala gaya
apni yaad ki tarah
qadam ke haseen nishaan
chhod kar gaya jinhen
hawaon ne mita diya
aur ghubaar sa uda diya
pattharon ki tarah
raaste khamosh hain
raaston se kya kahi
faasle hain darmiyaan
jo waqt ki tarah chala gaya
vo laut kar na aayega
shaam kyun udaas hai
aankh kyun hui hai nam
बादलों की तरह क्यूँ
छा गया है दिल पर ग़म
वो कौन था जो आया और चला गया
अपनी याद की तरह
क़दम के हसीं निशाँ
छोड़ कर गया जिन्हें
हवाओं ने मिटा दिया
और ग़ुबार सा उड़ा दिया
पत्थरों की तरह
रास्ते ख़मोश हैं
रास्तों से क्या कहीं
फ़ासले हैं दरमियाँ
जो वक़्त की तरह चला गया
वो लौट कर न आएगा
शाम क्यूँ उदास है
आँख क्यूँ हुई है नम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar
our suggestion based on Ehtisham Akhtar
As you were reading Mood off Shayari Shayari