khaali gilaas ke muqaddar mein | ख़ाली गिलास के मुक़द्दर में

  - Ehtisham Akhtar

khaali gilaas ke muqaddar mein
honton ka lams haathon ki narmi kahaan
shabnam roti hai use fana ka gham hai
lams ki qeemat ka ehsaas nahin hai us ko
phoolon ki aaghosh mein maut bhi
haseen ho jaati hai zindagi ki tarah
khush-qismat hain vo lifaafe
jin par sabt hoti hai mohr
husain labon ki
mujhe bhi koi chhole
mujhe bhi koi pee le
main phir toot-foot jaaunga
khaali gilaas ke muqaddar mein magar
honton ka lams haathon ki narmi kahaan

ख़ाली गिलास के मुक़द्दर में
होंटों का लम्स हाथों की नर्मी कहाँ
शबनम रोती है उसे फ़ना का ग़म है
लम्स की क़ीमत का एहसास नहीं है उस को
फूलों की आग़ोश में मौत भी
हसीन हो जाती है ज़िंदगी की तरह
ख़ुश-क़िस्मत हैं वो लिफ़ाफ़े
जिन पर सब्त होती है मोहर
हुसैन लबों की
मुझे भी कोई छोले
मुझे भी कोई पी ले
मैं फिर टूट-फूट जाऊँगा
ख़ाली गिलास के मुक़द्दर में मगर
होंटों का लम्स हाथों की नर्मी कहाँ

  - Ehtisham Akhtar

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehtisham Akhtar

As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Ehtisham Akhtar

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari