dhoop kitni khoobsurat hai yahan
haseen chehron par dhoop
taaj-mahal par dhoop
husn khud chal kar yahan
husn ko dekhne aata hai
main chalte-firte husn mein
aisa khoya hoon
ki kuchh samajh mein nahin aata
taaj ko dekhoon ya husn-e-gurezaan ko
धूप कितनी ख़ूबसूरत है यहाँ
हसीं चेहरों पर धूप
ताज-महल पर धूप
हुस्न ख़ुद चल कर यहाँ
हुस्न को देखने आता है
मैं चलते-फिरते हुस्न में
ऐसा खोया हूँ
कि कुछ समझ में नहीं आता
ताज को देखूँ या हुस्न-ए-गुरेज़ाँ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar
our suggestion based on Ehtisham Akhtar
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari