khushk dariya pada hai khwaahish ka
khwaab dekha tha ham ne baarish ka
mustaqil dil jalaae rakhta hai
hai ye mausam hawa ki saazish ka
us se kehne ko to bahut kuchh hai
waqt milta nahin guzarish ka
koi us se to kuchh nahin kehta
bo raha hai jo beech ranjish ka
paa-b-zanjeer chal rahe hain jo ham
ye bhi pahluu hai ik numaish ka
phool kal the to aaj patthar hain
ye bhi andaaz hai sataish ka
main ne aankhon se guftugoo kar li
ye hunar hai zabaan ki bandish ka
khil rahe hain gulaab zakhamon ke
shukriya aap ki nawaazish ka
jaari mashq-e-sukhan rahe ejaz
kuchh sila to milega kaavish ka
ख़ुश्क दरिया पड़ा है ख़्वाहिश का
ख़्वाब देखा था हम ने बारिश का
मुस्तक़िल दिल जलाए रखता है
है ये मौसम हवा की साज़िश का
उस से कहने को तो बहुत कुछ है
वक़्त मिलता नहीं गुज़ारिश का
कोई उस से तो कुछ नहीं कहता
बो रहा है जो बीच रंजिश का
पा-ब-ज़ंजीर चल रहे हैं जो हम
ये भी पहलू है इक नुमाइश का
फूल कल थे तो आज पत्थर हैं
ये भी अंदाज़ है सताइश का
मैं ने आँखों से गुफ़्तुगू कर ली
ये हुनर है ज़बाँ की बंदिश का
खिल रहे हैं गुलाब ज़ख़्मों के
शुक्रिया आप की नवाज़िश का
जारी मश्क़-ए-सुख़न रहे 'एजाज़'
कुछ सिला तो मिलेगा काविश का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Rahmani
our suggestion based on Ejaz Rahmani
As you were reading Samundar Shayari Shayari