kitne ba-hosh ho gaye ham log | कितने बा-होश हो गए हम लोग

  - Ejaz Rahmani

kitne ba-hosh ho gaye ham log
khud-faramosh ho gaye ham log

jis ne chaaha hamein aziyyat di
aur khaamosh ho gaye ham log

dil ki awaaz bhi nahin sunte
kya giran-gosh ho gaye ham log

ham ko duniya ne paarsa samjha
jab khata-kosh ho gaye ham log

pee gaye jhidkiyaan bhi saaqi ki
kya balaa-nosh ho gaye ham log

is tarah pee rahe hain khoon apna
jaise may-nosh ho gaye ham log

shehar mein is qadar the hangaame
ghar mein roo-posh ho gaye ham log

kitne chehron pe aa gai rangat
jab se khaamosh ho gaye ham log

zakham paaye hain is qadar ejaz
aaj gul-posh ho gaye ham log

कितने बा-होश हो गए हम लोग
ख़ुद-फ़रामोश हो गए हम लोग

जिस ने चाहा हमें अज़िय्यत दी
और ख़ामोश हो गए हम लोग

दिल की आवाज़ भी नहीं सुनते
क्या गिराँ-गोश हो गए हम लोग

हम को दुनिया ने पारसा समझा
जब ख़ता-कोश हो गए हम लोग

पी गए झिड़कियाँ भी साक़ी की
क्या बला-नोश हो गए हम लोग

इस तरह पी रहे हैं ख़ून अपना
जैसे मय-नोश हो गए हम लोग

शहर में इस क़दर थे हंगामे
घर में रू-पोश हो गए हम लोग

कितने चेहरों पे आ गई रंगत
जब से ख़ामोश हो गए हम लोग

ज़ख़्म पाए हैं इस क़दर 'एजाज़'
आज गुल-पोश हो गए हम लोग

  - Ejaz Rahmani

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Rahmani

As you were reading Shayari by Ejaz Rahmani

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Rahmani

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari