zalim se mustafa ka amal chahte hain log | ज़ालिम से मुस्तफ़ा का अमल चाहते हैं लोग

  - Ejaz Rahmani

zalim se mustafa ka amal chahte hain log
sukhe hue darakht se fal chahte hain log

kaafi hai jin ke vaaste chhota sa ik makaan
pooche koi to sheesh-mahal chahte hain log

saaye ki maangte hain rida aftaab se
patthar se aaine ka badal chahte hain log

kab tak kisi ki zulf-e-pareshaan ka tazkira
kuchh apni uljhnon ka bhi hal chahte hain log

baar-e-gham-e-hayaat se shaane hue hain shal
ukta ke zindagi se ajal chahte hain log

rakhte nahin nigaah taqaazon pe waqt ke
taalaab ke baghair kanwal chahte hain log

jis ko bhi dekhiye hai wahi dushman-e-sukoon
kya daur hai ki jang-o-jadal chahte hain log

darkaar hai najaat gham-e-rozgaar se
mirrikh chahte hain na zuhul chahte hain log

ejaz apne ahad ka main tarjumaan hoon
main jaanta hoon jaisi ghazal chahte hain log

ज़ालिम से मुस्तफ़ा का अमल चाहते हैं लोग
सूखे हुए दरख़्त से फल चाहते हैं लोग

काफ़ी है जिन के वास्ते छोटा सा इक मकाँ
पूछे कोई तो शीश-महल चाहते हैं लोग

साए की माँगते हैं रिदा आफ़्ताब से
पत्थर से आइने का बदल चाहते हैं लोग

कब तक किसी की ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ का तज़्किरा
कुछ अपनी उलझनों का भी हल चाहते हैं लोग

बार-ए-ग़म-ए-हयात से शाने हुए हैं शल
उकता के ज़िंदगी से अजल चाहते हैं लोग

रखते नहीं निगाह तक़ाज़ों पे वक़्त के
तालाब के बग़ैर कँवल चाहते हैं लोग

जिस को भी देखिए है वही दुश्मन-ए-सुकूँ
क्या दौर है कि जंग-ओ-जदल चाहते हैं लोग

दरकार है नजात ग़म-ए-रोज़गार से
मिर्रीख़ चाहते हैं न ज़ुहल चाहते हैं लोग

'एजाज़' अपने अहद का मैं तर्जुमान हूँ
मैं जानता हूँ जैसी ग़ज़ल चाहते हैं लोग

  - Ejaz Rahmani

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Rahmani

As you were reading Shayari by Ejaz Rahmani

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Rahmani

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari