mit gaya gham tire takallum se | मिट गया ग़म तिरे तकल्लुम से

  - Ejaz Rahmani

mit gaya gham tire takallum se
lab hue aashna tabassum se

kis ke naqsh-e-qadam hain raahon mein
jagmagate hain maah-o-anjum se

hai zamaana bada zamaana-shanaas
kabhi mujh se gila kabhi tum se

nakhuda bhi mila to aisa mila
aashna jo nahin talaatum se

us ne aa kar mizaaj pooch liya
ham to baithe hue the gum-sum se

nakhuda ne dubo diya un ko
vo ki jo bach gaye talaatum se

zindagi haadson ki zad mein hai
koi kaise bache tasaadum se

saaya-e-gul mein baithne waalo
guftugoo hogi daar par tum se

main ghazal ka aseer hoon ejaz
she'r padhta hoon main tarannum se

मिट गया ग़म तिरे तकल्लुम से
लब हुए आश्ना तबस्सुम से

किस के नक़्श-ए-क़दम हैं राहों में
जगमगाते हैं माह-ओ-अंजुम से

है ज़माना बड़ा ज़माना-शनास
कभी मुझ से गिला कभी तुम से

नाख़ुदा भी मिला तो ऐसा मिला
आश्ना जो नहीं तलातुम से

उस ने आ कर मिज़ाज पूछ लिया
हम तो बैठे हुए थे गुम-सुम से

नाख़ुदा ने डुबो दिया उन को
वो कि जो बच गए तलातुम से

ज़िंदगी हादसों की ज़द में है
कोई कैसे बचे तसादुम से

साया-ए-गुल में बैठने वालो
गुफ़्तुगू होगी दार पर तुम से

मैं ग़ज़ल का असीर हूँ 'एजाज़'
शे'र पढ़ता हूँ मैं तरन्नुम से

  - Ejaz Rahmani

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Rahmani

As you were reading Shayari by Ejaz Rahmani

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Rahmani

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari