use ye haq hai ki vo mujh se ikhtilaaf kare | उसे ये हक़ है कि वो मुझ से इख़्तिलाफ़ करे

  - Ejaz Rahmani

use ye haq hai ki vo mujh se ikhtilaaf kare
magar vujood ka mere bhi e'tiraaf kare

use to apni bhi soorat nazar nahin aati
vo apne sheesha-e-dil ki to gard saaf kare

kiya jo us ne mere saath na-munaasib tha
muaaf kar diya main ne khuda muaaf kare

vo shakhs jo kisi masjid mein ja nahin saka
to apne ghar mein hi kuchh roz etikaaf kare

vo aadmi to nahin hai siyaah patthar hai
jo chahta hai ki duniya mera tawaaf kare

vo kohkan hai na hai us ke haath mein tesha
magar zabaan se jab chahe vo shigaaf kare

main us ke saare naqais use bata doonga
ana ka apne badan se juda ghilaaf kare

jise bhi dekhiye patthar uthaaye firta hai
koi to ho meri vehshat ka e'tiraaf kare

main is ki baat ka kaise yaqeen karoon ejaz
jo shakhs apne usoolon se inhiraf kare

उसे ये हक़ है कि वो मुझ से इख़्तिलाफ़ करे
मगर वजूद का मेरे भी ए'तिराफ़ करे

उसे तो अपनी भी सूरत नज़र नहीं आती
वो अपने शीशा-ए-दिल की तो गर्द साफ़ करे

किया जो उस ने मिरे साथ ना-मुनासिब था
मुआफ़ कर दिया मैं ने ख़ुदा मुआफ़ करे

वो शख़्स जो किसी मस्जिद में जा नहीं सकता
तो अपने घर में ही कुछ रोज़ एतकाफ़ करे

वो आदमी तो नहीं है सियाह पत्थर है
जो चाहता है कि दुनिया मिरा तवाफ़ करे

वो कोहकन है न है उस के हाथ में तेशा
मगर ज़बान से जब चाहे वो शिगाफ़ करे

मैं उस के सारे नक़ाइस उसे बता दूँगा
अना का अपने बदन से जुदा ग़िलाफ़ करे

जिसे भी देखिए पत्थर उठाए फिरता है
कोई तो हो मिरी वहशत का ए'तिराफ़ करे

मैं इस की बात का कैसे यक़ीं करूँ 'एजाज़'
जो शख़्स अपने उसूलों से इंहिराफ़ करे

  - Ejaz Rahmani

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Rahmani

As you were reading Shayari by Ejaz Rahmani

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Rahmani

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari