rang mausam ke saath laaye hain | रंग मौसम के साथ लाए हैं

  - Ejaz Rahmani

rang mausam ke saath laaye hain
ye parinde kahaan se aaye hain

baith jaate hain raah-rau thak kar
kitne himmat-shikan ye saaye hain

dhoop apni zameen hai apni
ped apne nahin paraaye hain

apne ahbaab ki khushi ke liye
bila-irada bhi muskuraaye hain

dushmanon ko qareeb se dekha
doston ke fareb khaaye hain

ham ne toda hai zulmato_n ka fusoon
raushni ke bhi teer khaaye hain

dekh le mud kar mahw-e-aaraish
aaina ban ke ham bhi aaye hain

pai-b-pai raah ki shikaston ne
hausale aur bhi badhaaye hain

zindagi hai usi ka naam ejaz
hain vo apne jo gham paraaye hain

रंग मौसम के साथ लाए हैं
ये परिंदे कहाँ से आए हैं

बैठ जाते हैं राह-रौ थक कर
कितने हिम्मत-शिकन ये साए हैं

धूप अपनी ज़मीन है अपनी
पेड़ अपने नहीं पराए हैं

अपने अहबाब की ख़ुशी के लिए
बिला-इरादा भी मुस्कुराए हैं

दुश्मनों को क़रीब से देखा
दोस्तों के फ़रेब खाए हैं

हम ने तोड़ा है ज़ुल्मतों का फ़ुसूँ
रौशनी के भी तीर खाए हैं

देख ले मुड़ कर महव-ए-आराइश
आईना बन के हम भी आए हैं

पै-ब-पै राह की शिकस्तों ने
हौसले और भी बढ़ाए हैं

ज़िंदगी है उसी का नाम 'एजाज़'
हैं वो अपने जो ग़म पराए हैं

  - Ejaz Rahmani

Teer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Rahmani

As you were reading Shayari by Ejaz Rahmani

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Rahmani

Similar Moods

As you were reading Teer Shayari Shayari