saaye mein aabloon ki jalan aur badh gai | साए में आबलों की जलन और बढ़ गई

  - Ejaz Rahmani

saaye mein aabloon ki jalan aur badh gai
thak kar jo baithe ham to thakan aur badh gai

kal is qadar tha habs hamaare makaan mein
sankee hawa zara to ghutan aur badh gai

kaanton ki guftugoo se khalish dil mein kam na thi
phoolon ke tazkire se chubhan aur badh gai

ye baagbaan hamaare lahu ka kamaal hai
nairangi-e-bahaar-e-chaman aur badh gai

ye hijr ki hai aag mizaaj us ka aur hai
ashkon se sholagi-e-badan aur badh gai

sairaab kar saka na use mera khoon bhi
kuchh tishnagi-e-daar-o-rasan aur badh gai

harf-e-sipaas pesh kiya jab bhi vo mila
lekin jabeen pe us ki shikan aur badh gai

tahreer ki jo ek ghazal us ke naam par
ejaz aabroo-e-sukhan aur badh gai

साए में आबलों की जलन और बढ़ गई
थक कर जो बैठे हम तो थकन और बढ़ गई

कल इस क़दर था हब्स हमारे मकान में
सनकी हवा ज़रा तो घुटन और बढ़ गई

काँटों की गुफ़्तुगू से ख़लिश दिल में कम न थी
फूलों के तज़्किरे से चुभन और बढ़ गई

ये बाग़बाँ हमारे लहू का कमाल है
नैरंगी-ए-बहार-ए-चमन और बढ़ गई

ये हिज्र की है आग मिज़ाज उस का और है
अश्कों से शो'लगी-ए-बदन और बढ़ गई

सैराब कर सका न उसे मेरा ख़ून भी
कुछ तिश्नगी-ए-दार-ओ-रसन और बढ़ गई

हर्फ़-ए-सिपास पेश किया जब भी वो मिला
लेकिन जबीं पे उस की शिकन और बढ़ गई

तहरीर की जो एक ग़ज़ल उस के नाम पर
'एजाज़' आबरू-ए-सुख़न और बढ़ गई

  - Ejaz Rahmani

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Rahmani

As you were reading Shayari by Ejaz Rahmani

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Rahmani

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari