ai naqsh-garo lauh-e-tahreer hamein de do
ham apne musavvir hain tasveer hamein de do
aaghosh-e-kamaan ab tak afkaar ka khaali hai
tum apni nigaahon ke kuchh teer hamein de do
kya tol rahe ho tum haathon mein khird-mando
zewar ye junoon ka hai zanjeer hamein de do
ai khaali katoron ke be-kaif nigahbaano
may-khaana hamaari hai jaageer hamein de do
tum to na jhuka paaye gardan dil-e-sarkash ki
ai ahl-e-sitam laao shamsheer hamein de do
aashufta lakeeren hain tahreer ki nau-mashqi
likh lenge humeen lauh-e-taqdeer hamein de do
ऐ नक़्श-गरो लौह-ए-तहरीर हमें दे दो
हम अपने मुसव्विर हैं तस्वीर हमें दे दो
आग़ोश-ए-कमाँ अब तक अफ़्कार का ख़ाली है
तुम अपनी निगाहों के कुछ तीर हमें दे दो
क्या तोल रहे हो तुम हाथों में ख़िरद-मंदो
ज़ेवर ये जुनूँ का है ज़ंजीर हमें दे दो
ऐ ख़ाली कटोरों के बे-कैफ़ निगहबानों
मय-ख़ाना हमारी है जागीर हमें दे दो
तुम तो न झुका पाए गर्दन दिल-ए-सरकश की
ऐ अहल-ए-सितम लाओ शमशीर हमें दे दो
आशुफ़्ता लकीरें हैं तहरीर की नौ-मश्क़ी
लिख लेंगे हमीं लौह-ए-तक़दीर हमें दे दो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ezaz Afzal
our suggestion based on Ezaz Afzal
As you were reading Teer Shayari Shayari