jaahilon ko salaam karna hai
aur phir jhoot-moot darna hai
kaash vo raaste mein mil jaaye
mujh ko munh fer kar guzarna hai
poochhti hai sada-e-baal-o-par
kya zameen par nahin utarna hai
sochna kuchh nahin hamein filhaal
un se koi bhi baat karna hai
bhook se dagmaga rahe hain paanv
aur bazaar se guzarna hai
जाहिलों को सलाम करना है
और फिर झूट-मूट डरना है
काश वो रास्ते में मिल जाए
मुझ को मुँह फेर कर गुज़रना है
पूछती है सदा-ए-बाल-ओ-पर
क्या ज़मीं पर नहीं उतरना है
सोचना कुछ नहीं हमें फ़िलहाल
उन से कोई भी बात करना है
भूक से डगमगा रहे हैं पाँव
और बाज़ार से गुज़रना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fahmi Badayuni
our suggestion based on Fahmi Badayuni
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari