zara mohtaath hona chahiye tha
baghair ashkon ke rona chahiye tha
ab un ko yaad kar ke ro rahe hain
bichhadte waqt rona chahiye tha
meri vaada-khilaafi par vo chup hai
use naaraz hona chahiye tha
chala aata yaqeenan khwaab mein vo
hamein kal raat sona chahiye tha
sui dhaaga mohabbat ne diya tha
to kuchh seena pirona chahiye tha
hamaara haal tum bhi poochte ho
tumhein maaloom hona chahiye tha
wafa majboor tum ko kar rahi thi
to phir majboor hona chahiye tha
ज़रा मोहतात होना चाहिए था
बग़ैर अश्कों के रोना चाहिए था
अब उन को याद कर के रो रहे हैं
बिछड़ते वक़्त रोना चाहिए था
मिरी वादा-ख़िलाफ़ी पर वो चुप है
उसे नाराज़ होना चाहिए था
चला आता यक़ीनन ख़्वाब में वो
हमें कल रात सोना चाहिए था
सुई धागा मोहब्बत ने दिया था
तो कुछ सीना पिरोना चाहिए था
हमारा हाल तुम भी पूछते हो
तुम्हें मालूम होना चाहिए था
वफ़ा मजबूर तुम को कर रही थी
तो फिर मजबूर होना चाहिए था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fahmi Badayuni
our suggestion based on Fahmi Badayuni
As you were reading Neend Shayari Shayari