dil mein ab yun tire bhule hue gham aate hain
jaise bichhde hue kaabe mein sanam aate hain
ek ik kar ke hue jaate hain taare raushan
meri manzil ki taraf tere qadam aate hain
raqs-e-may tez karo saaz ki lay tez karo
soo-e-may-khaana safeeraan-e-haram aate hain
kuchh humeen ko nahin ehsaan uthaane ka dimaagh
vo to jab aate hain mail-b-karam aate hain
aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai vo yaad bhi kam aate hain
दिल में अब यूँ तिरे भूले हुए ग़म आते हैं
जैसे बिछड़े हुए काबे में सनम आते हैं
एक इक कर के हुए जाते हैं तारे रौशन
मेरी मंज़िल की तरफ़ तेरे क़दम आते हैं
रक़्स-ए-मय तेज़ करो साज़ की लय तेज़ करो
सू-ए-मय-ख़ाना सफ़ीरान-ए-हरम आते हैं
कुछ हमीं को नहीं एहसान उठाने का दिमाग़
वो तो जब आते हैं माइल-ब-करम आते हैं
और कुछ देर न गुज़रे शब-ए-फ़ुर्क़त से कहो
दिल भी कम दुखता है वो याद भी कम आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Justaju Shayari Shayari