kabhi kabhi yaad mein ubharte hain naqsh-e-maazi mite mite se | कभी कभी याद में उभरते हैं नक़्श-ए-माज़ी मिटे मिटे से

  - Faiz Ahmad Faiz

kabhi kabhi yaad mein ubharte hain naqsh-e-maazi mite mite se
vo aazmaish dil o nazar ki vo qurbaten si vo faasle se

kabhi kabhi aarzoo ke sehra mein aa ke rukte hain qafile se
vo saari baatein lagaav ki si vo saare unwaan visaal ke se

nigaah o dil ko qaraar kaisa nashaat o gham mein kami kahaan ki
vo jab mile hain to un se har baar ki hai ulfat naye sire se

bahut giran hai ye aish-e-tanha kahi subuk-tar kahi gawara
vo dard-e-pinhaan ki saari duniya rafeeq thi jis ke vaaste se

tumheen kaho rind o mohtasib mein hai aaj shab kaun farq aisa
ye aa ke baithe hain may-kade mein vo uth ke aaye hain may-kade se

कभी कभी याद में उभरते हैं नक़्श-ए-माज़ी मिटे मिटे से
वो आज़माइश दिल ओ नज़र की वो क़ुर्बतें सी वो फ़ासले से

कभी कभी आरज़ू के सहरा में आ के रुकते हैं क़ाफ़िले से
वो सारी बातें लगाव की सी वो सारे उनवाँ विसाल के से

निगाह ओ दिल को क़रार कैसा नशात ओ ग़म में कमी कहाँ की
वो जब मिले हैं तो उन से हर बार की है उल्फ़त नए सिरे से

बहुत गिराँ है ये ऐश-ए-तन्हा कहीं सुबुक-तर कहीं गवारा
वो दर्द-ए-पिन्हाँ कि सारी दुनिया रफ़ीक़ थी जिस के वास्ते से

तुम्हीं कहो रिंद ओ मोहतसिब में है आज शब कौन फ़र्क़ ऐसा
ये आ के बैठे हैं मय-कदे में वो उठ के आए हैं मय-कदे से

  - Faiz Ahmad Faiz

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari