tumhaari yaad ke jab zakham bharne lagte hain | तुम्हारी याद के जब ज़ख़्म भरने लगते हैं

  - Faiz Ahmad Faiz

tumhaari yaad ke jab zakham bharne lagte hain
kisi bahaane tumhein yaad karne lagte hain

hadees-e-yaar ke unwaan nikharne lagte hain
to har hareem mein gesu sanwarne lagte hain

har ajnabi hamein mehram dikhaai deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain

saba se karte hain gurbat-naseeb zikr-e-watan
to chashm-e-subh mein aansu ubharne lagte hain

vo jab bhi karte hain is nutq o lab ki bakhiya-gari
fazaa mein aur bhi nagme bikharna lagte hain

dar-e-qafas pe andhere ki mohr lagti hai
to faiz dil mein sitaare utarne lagte hain

तुम्हारी याद के जब ज़ख़्म भरने लगते हैं
किसी बहाने तुम्हें याद करने लगते हैं

हदीस-ए-यार के उनवाँ निखरने लगते हैं
तो हर हरीम में गेसू सँवरने लगते हैं

हर अजनबी हमें महरम दिखाई देता है
जो अब भी तेरी गली से गुज़रने लगते हैं

सबा से करते हैं ग़ुर्बत-नसीब ज़िक्र-ए-वतन
तो चश्म-ए-सुब्ह में आँसू उभरने लगते हैं

वो जब भी करते हैं इस नुत्क़ ओ लब की बख़िया-गरी
फ़ज़ा में और भी नग़्मे बिखरने लगते हैं

दर-ए-क़फ़स पे अँधेरे की मोहर लगती है
तो 'फ़ैज़' दिल में सितारे उतरने लगते हैं

  - Faiz Ahmad Faiz

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari