kab thehrega dard ai dil kab raat basar hogi | कब ठहरेगा दर्द ऐ दिल कब रात बसर होगी

  - Faiz Ahmad Faiz

kab thehrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the vo aayenge sunte the sehar hogi

kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din tiri shunvaai ai deeda-e-tar hogi

kab mehkegi fasl-e-gul kab bahkega may-khaana
kab subh-e-sukhan hogi kab shaam-e-nazar hogi

wa'iz hai na zaahid hai naaseh hai na qaateel hai
ab shehar mein yaaron ki kis tarah basar hogi

kab tak abhi rah dekhen ai qaamat-e-jaanaana
kab hashr mu'ayyan hai tujh ko to khabar hogi

कब ठहरेगा दर्द ऐ दिल कब रात बसर होगी
सुनते थे वो आएँगे सुनते थे सहर होगी

कब जान लहू होगी कब अश्क गुहर होगा
किस दिन तिरी शुनवाई ऐ दीदा-ए-तर होगी

कब महकेगी फ़स्ल-ए-गुल कब बहकेगा मय-ख़ाना
कब सुब्ह-ए-सुख़न होगी कब शाम-ए-नज़र होगी

वाइ'ज़ है न ज़ाहिद है नासेह है न क़ातिल है
अब शहर में यारों की किस तरह बसर होगी

कब तक अभी रह देखें ऐ क़ामत-ए-जानाना
कब हश्र मुअ'य्यन है तुझ को तो ख़बर होगी

  - Faiz Ahmad Faiz

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari