kuchh mohtasibon ki khilwat mein kuchh wa'iz ke ghar jaati hai
ham baada-kashon ke hisse ki ab jaam mein kam-tar jaati hai
yun arz-o-talab se kam ai dil patthar dil paani hote hain
tum laakh raza ki khoo daalo kab khoo-e-sitamgar jaati hai
bedaad-garon ki basti hai yaa daad kahaan khairaat kahaan
sar phodti phirti hai naadaan fariyaad jo dar dar jaati hai
haan jaan ke ziyaan ki ham ko bhi tashveesh hai lekin kya kijeye
har rah jo udhar ko jaati hai maqtal se guzar kar jaati hai
ab koocha-e-dil-bar ka rah-rau rehzan bhi bane to baat bane
pahre se adoo talte hi nahin aur raat barabar jaati hai
ham ahl-e-qafas tanhaa bhi nahin har roz naseem-e-subh-e-watan
yaadon se moattar aati hai ashkon se munavvar jaati hai
कुछ मोहतसिबों की ख़ल्वत में कुछ वाइ'ज़ के घर जाती है
हम बादा-कशों के हिस्से की अब जाम में कम-तर जाती है
यूँ अर्ज़-ओ-तलब से कम ऐ दिल पत्थर दिल पानी होते हैं
तुम लाख रज़ा की ख़ू डालो कब ख़ू-ए-सितमगर जाती है
बेदाद-गरों की बस्ती है याँ दाद कहाँ ख़ैरात कहाँ
सर फोड़ती फिरती है नादाँ फ़रियाद जो दर दर जाती है
हाँ जाँ के ज़ियाँ की हम को भी तशवीश है लेकिन क्या कीजे
हर रह जो उधर को जाती है मक़्तल से गुज़र कर जाती है
अब कूचा-ए-दिल-बर का रह-रौ रहज़न भी बने तो बात बने
पहरे से अदू टलते ही नहीं और रात बराबर जाती है
हम अहल-ए-क़फ़स तन्हा भी नहीं हर रोज़ नसीम-ए-सुब्ह-ए-वतन
यादों से मोअत्तर आती है अश्कों से मुनव्वर जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Raat Shayari Shayari