rah-e-khizan mein talaash-e-bahaar karte rahe | रह-ए-ख़िज़ाँ में तलाश-ए-बहार करते रहे

  - Faiz Ahmad Faiz

rah-e-khizan mein talaash-e-bahaar karte rahe
shab-e-siyah se talab husn-e-yaar karte rahe

khayaal-e-yaar kabhi zikr-e-yaar karte rahe
isee mataa pe ham rozgaar karte rahe

nahin shikaayat-e-hijraan ki is vaseele se
ham un se rishta-e-dil ustuvaar karte rahe

vo din ki koi bhi jab vajh-e-intizaar na thi
ham un mein tera siva intizaar karte rahe

ham apne raaz pe naazaan the sharmasaar na the
har ek se sukhan-e-raaz-daar karte rahe

ziya-e-bazm-e-jahaan baar baar maand hui
hadees-e-shola-rukhaan baar baar karte rahe

unhin ke faiz se bazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junoon ikhtiyaar karte rahe

रह-ए-ख़िज़ाँ में तलाश-ए-बहार करते रहे
शब-ए-सियह से तलब हुस्न-ए-यार करते रहे

ख़याल-ए-यार कभी ज़िक्र-ए-यार करते रहे
इसी मताअ' पे हम रोज़गार करते रहे

नहीं शिकायत-ए-हिज्राँ कि इस वसीले से
हम उन से रिश्ता-ए-दिल उस्तुवार करते रहे

वो दिन कि कोई भी जब वज्ह-ए-इन्तिज़ार न थी
हम उन में तेरा सिवा इंतिज़ार करते रहे

हम अपने राज़ पे नाज़ाँ थे शर्मसार न थे
हर एक से सुख़न-ए-राज़-दार करते रहे

ज़िया-ए-बज़्म-ए-जहाँ बार बार मांद हुई
हदीस-ए-शोला-रुख़ाँ बार बार करते रहे

उन्हीं के फ़ैज़ से बाज़ार-ए-अक़्ल रौशन है
जो गाह गाह जुनूँ इख़्तियार करते रहे

  - Faiz Ahmad Faiz

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari