chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz | चंद रोज़ और मिरी जान फ़क़त चंद ही रोज़

  - Faiz Ahmad Faiz

chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz
zulm ki chaanv mein dam lene pe majboor hain ham
aur kuchh der sitam sah len tadap len ro len
apne ajdaad ki meeraas hai maazoor hain ham

jism par qaid hai jazbaat pe zanjeeren hain
fikr mahboos hai guftaar pe taazeeren hain
apni himmat hai ki ham phir bhi jiye jaate hain
zindagi kya kisi mufalis ki qaba hai jis mein
har ghadi dard ke paivand lage jaate hain

lekin ab zulm ki miyaad ke din thode hain
ik zara sabr ki fariyaad ke din thode hain

arsa-e-dehr ki jhulsi hui veeraani mein
ham ko rahna hai pe yoonhi to nahin rahna hai
ajnabi haathon ka be-naam giran-baar sitam
aaj sahna hai hamesha to nahin sahna hai

ye tire husn se lipti hui aalaam ki gard
apni do roza jawaani ki shikaston ka shumaar
chaandni raaton ka bekar dahakta hua dard

dil ki be-sood tadap jism ki mayus pukaar
chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz

चंद रोज़ और मिरी जान फ़क़त चंद ही रोज़
ज़ुल्म की छाँव में दम लेने पे मजबूर हैं हम
और कुछ देर सितम सह लें तड़प लें रो लें
अपने अज्दाद की मीरास है माज़ूर हैं हम

जिस्म पर क़ैद है जज़्बात पे ज़ंजीरें हैं
फ़िक्र महबूस है गुफ़्तार पे ताज़ीरें हैं
अपनी हिम्मत है कि हम फिर भी जिए जाते हैं
ज़िंदगी क्या किसी मुफ़लिस की क़बा है जिस में
हर घड़ी दर्द के पैवंद लगे जाते हैं

लेकिन अब ज़ुल्म की मीआद के दिन थोड़े हैं
इक ज़रा सब्र कि फ़रियाद के दिन थोड़े हैं

अरसा-ए-दहर की झुलसी हुई वीरानी में
हम को रहना है पे यूँही तो नहीं रहना है
अजनबी हाथों का बे-नाम गिराँ-बार सितम
आज सहना है हमेशा तो नहीं सहना है

ये तिरे हुस्न से लिपटी हुई आलाम की गर्द
अपनी दो रोज़ा जवानी की शिकस्तों का शुमार
चाँदनी रातों का बेकार दहकता हुआ दर्द

दिल की बे-सूद तड़प जिस्म की मायूस पुकार
चंद रोज़ और मिरी जान फ़क़त चंद ही रोज़

  - Faiz Ahmad Faiz

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari