khalk kahti hai jise dil tire deewane ka | ख़ल्क़ कहती है जिसे दिल तिरे दीवाने का - Fani Badayuni

khalk kahti hai jise dil tire deewane ka
ek gosha hai ye duniya isee veeraane ka

ik muamma hai samajhne ka na samjhaane ka
zindagi kahe ko hai khwaab hai deewane ka

husn hai zaat meri ishq sifat hai meri
hoonto main sham'a magar bhes hai parwaane ka

kaabe ko dil ki ziyaarat ke liye jaata hoon
aastaana hai haram mere sanam-khaane ka

mukhtasar qissa-e-gham ye hai ki dil rakhta hoon
raaz-e-kaunain khulasa hai is afsaane ka

zindagi bhi to pashemaanhai yahaanla ke mujhe
dhoondhti hai koi heela mere mar jaane ka

tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang
aao dekho na tamasha mere gham-khaane ka

ab ise daar pe le ja ke sula de saaqi
yoonbahakna nahin achha tire mastaane ka

dil se pahunchee to hain aankhon mein lahu ki boonden
silsila sheeshe se milta to hai paimaane ka

haddiyaanhain kai lipti hui zanjeeron mein
liye jaate hain janaaza tire deewane ka

wahdat-e-husn ke jalvo ki ye kasrat ai ishq
dil ke har zarre mein aalam hai paree-khaane ka

chashm-e-saaqi asar-e-may se nahin hai gul-rang
dil mere khoon se labreiz hai paimaane ka

lauh dil ko gham-e-ulfat ko qalam kahte hain
kun hai andaaz-e-raqam husn ke afsaane ka

hum ne chaani hain bahut dair o haram ki galiyaan
kahi paaya na thikaana tire deewane ka

kis ki aankhen dam-e-aakhir mujhe yaad aayi hain
dil murqqaahai chhalakte hue paimaane ka

kahte hain kya hi maze ka hai fasana faani
aap ki jaan se door aap ke mar jaane ka

har nafs umr-e-guzishta ki hai mayyat faani
zindagi naam hai mar mar ke jiye jaane ka

ख़ल्क़ कहती है जिसे दिल तिरे दीवाने का
एक गोशा है ये दुनिया इसी वीराने का

इक मुअम्मा है समझने का न समझाने का
ज़िंदगी काहे को है ख़्वाब है दीवाने का

हुस्न है ज़ात मिरी इश्क़ सिफ़त है मेरी
हूंतो मैं शम्अ मगर भेस है परवाने का

काबे को दिल की ज़ियारत के लिए जाता हूं
आस्ताना है हरम मेरे सनम-ख़ाने का

मुख़्तसर क़िस्सा-ए-ग़म ये है कि दिल रखता हूं
राज़-ए-कौनैन ख़ुलासा है इस अफ़्साने का

ज़िंदगी भी तो पशेमांहै यहांला के मुझे
ढूंढ़ती है कोई हीला मिरे मर जाने का

तुम ने देखा है कभी घर को बदलते हुए रंग
आओ देखो न तमाशा मिरे ग़म-ख़ाने का

अब इसे दार पे ले जा के सुला दे साक़ी
यूंबहकना नहीं अच्छा तिरे मस्ताने का

दिल से पहुंची तो हैं आंखों में लहू की बूंदें
सिलसिला शीशे से मिलता तो है पैमाने का

हड्डियांहैं कई लिपटी हुई ज़ंजीरों में
लिए जाते हैं जनाज़ा तिरे दीवाने का

वहदत-ए-हुस्न के जल्वों की ये कसरत ऐ इश्क़
दिल के हर ज़र्रे में आलम है परी-ख़ाने का

चश्म-ए-साक़ी असर-ए-मय से नहीं है गुल-रंग
दिल मिरे ख़ून से लबरेज़ है पैमाने का

लौह दिल को ग़म-ए-उल्फ़त को क़लम कहते हैं
कुन है अंदाज़-ए-रक़म हुस्न के अफ़्साने का

हम ने छानी हैं बहुत दैर ओ हरम की गलियां
कहीं पाया न ठिकाना तिरे दीवाने का

किस की आंखें दम-ए-आख़िर मुझे याद आई हैं
दिल मुरक़्क़ाहै छलकते हुए पैमाने का

कहते हैं क्या ही मज़े का है फ़साना 'फ़ानी'
आप की जान से दूर आप के मर जाने का

हर नफ़स उम्र-ए-गुज़िश्ता की है मय्यत 'फ़ानी'
ज़िंदगी नाम है मर मर के जिए जाने का

- Fani Badayuni
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fani Badayuni

As you were reading Shayari by Fani Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fani Badayuni

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari