hijr ki raat chhod jaati hai | हिज्र की रात छोड़ जाती है

  - Farhat Abbas Shah

hijr ki raat chhod jaati hai
nit-nai baat chhod jaati hai

ishq chalta hai ta-abad lekin
zindagi saath chhod jaati hai

dil bayaabaani saath rakhta hai
aankh barsaat chhod jaati hai

chaah ki ik khusoosiyat hai ki ye
mustaqil maat chhod jaati hai

marhale is tarah ke bhi hain ki jab
zaat ko zaat chhod jaati hai

hijr ka koi na koi pahluu
har mulaqaat chhod jaati hai

हिज्र की रात छोड़ जाती है
नित-नई बात छोड़ जाती है

इश्क़ चलता है ता-अबद लेकिन
ज़िंदगी साथ छोड़ जाती है

दिल बयाबानी साथ रखता है
आँख बरसात छोड़ जाती है

चाह की इक ख़ुसूसियत है कि ये
मुस्तक़िल मात छोड़ जाती है

मरहले इस तरह के भी हैं कि जब
ज़ात को ज़ात छोड़ जाती है

हिज्र का कोई ना कोई पहलू
हर मुलाक़ात छोड़ जाती है

  - Farhat Abbas Shah

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari