aag ho to jalne mein der kitni lagti hai | आग हो तो जलने में देर कितनी लगती है - Farhat Abbas Shah

aag ho to jalne mein der kitni lagti hai
barf ke pighalne mein der kitni lagti hai

chahe koi ruk jaaye chahe koi rah jaaye
kaafilo ko chalne mein der kitni lagti hai

chahe koi jaisa bhi hamsafar ho sadiyon se
raasta badlne mein der kitni lagti hai

ye to waqt ke bas mein hai ke kitni mohlat de
varna waqt dhalne mein der kitni lagti hai

आग हो तो जलने में देर कितनी लगती है
बर्फ के पिघलने में देर कितनी लगती है

चाहे कोई रुक जाए चाहे कोई रह जाए
काफिलो को चलने में देर कितनी लगती है

चाहे कोई जैसा भी हमसफ़र हो सदियों से
रास्ता बदलने में देर कितनी लगती है

ये तो वक़्त के बस में है के कितनी मोहलत दे
वरना वक़्त ढलने में देर कितनी लगती है

- Farhat Abbas Shah
7 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari