dil mein ik shaam si utaarti hai
khaamoshi ab mujhe pukaarti hai
kaise veeraan sahilon ki hawa
ret par zindagi guzaarti hai
tujh se ham door rah nahin sakte
koi bechaini ham ko maarti hai
khelti hai mere dukhon ke saath
zindagi kis qadar sharaati hai
hai mohabbat to bas mohabbat hai
jeet jaati hai ab ya haarti hai
roz ik naqsh ko ubhaarti hai
an-kahi roop kitne dhaarti hai
kaarobaari hain us ki baatein bhi
us ki muskaan bhi tijaarati hai
दिल में इक शाम सी उतारती है
ख़ामुशी अब मुझे पुकारती है
कैसे वीरान साहिलों की हवा
रेत पर ज़िंदगी गुज़ारती है
तुझ से हम दूर रह नहीं सकते
कोई बेचैनी हम को मारती है
खेलती है मिरे दुखों के साथ
ज़िंदगी किस क़दर शरारती है
है मोहब्बत तो बस मोहब्बत है
जीत जाती है अब या हारती है
रोज़ इक नक़्श को उभारती है
अन-कही रूप कितने धारती है
कारोबारी हैं उस की बातें भी
उस की मुस्कान भी तिजारती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah
our suggestion based on Farhat Abbas Shah
As you were reading Beqarari Shayari Shayari