isee se hota hai zaahir jo haal dard ka hai | इसी से होता है ज़ाहिर जो हाल दर्द का है - Farhat Abbas Shah

isee se hota hai zaahir jo haal dard ka hai
sabhi ko koi na koi vabaal dard ka hai

sehar siskate hue aasmaan se utri
to dil ne jaan liya ye bhi saal dard ka hai

ye jhaank leti hai dil se jo doosre dil mein
meri nigaah mein saara kamaal dard ka hai

ab iske baad koi raabta nahin rakhna
ye baat tay hui lekin sawaal dard ka hai

ye dil ye ujadi hui chashm-e-nam ye tanhaai
hamaare paas to jo bhi hai maal dard ka hai

na tum mein sukh ki koi baat hai na mujh mein hai
tumhaara aur mera milna visaal dard ka hai

kisi ne poocha ke farhat bahut haseen ho tum
to muskuraa ke kaha sab jamaal dard ka hai

इसी से होता है ज़ाहिर जो हाल दर्द का है
सभी को कोई ना कोई वबाल दर्द का है

सहर सिसकते हुए आसमान से उतरी
तो दिल ने जान लिया ये भी साल दर्द का है

ये झांक लेती है दिल से जो दूसरे दिल में
मेरी निगाह में सारा कमाल दर्द का है

अब इसके बाद कोई राब्ता नहीं रखना
ये बात तय हुई लेकिन सवाल दर्द का है

ये दिल ये उजड़ी हुई चश्म-ए-नम ये तन्हाई
हमारे पास तो जो भी है माल दर्द का है

ना तुम में सुख की कोई बात है ना मुझ में है
तुम्हारा और मेरा मिलना विसाल दर्द का है

किसी ने पूछा के 'फ़रहत' बहुत हसीन हो तुम
तो मुस्कुरा के कहा सब जमाल दर्द का है

- Farhat Abbas Shah
8 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari