khushboo sa badan yaad na saanson ki hawa yaad | ख़ुश्बू सा बदन याद न साँसों की हवा याद

  - Farhat Abbas Shah

khushboo sa badan yaad na saanson ki hawa yaad
ujde hue baagon ko kahaan baad-e-saba yaad

aati hai pareshaani to aata hai khuda yaad
warna nahin duniya mein koi tere siva yaad

jo bhule se bhule hain magar tere alaava
ik bichhda hua dil hamein aata hai sada yaad

main to hoon ab ik umr se pachtaavon ki zad mein
kya tum ko bhi aati hai kabhi apni khata yaad

mumkin hai bhala kaise ilaaj-e-gham-e-jaanaan
jab koi dava yaad na hai koi dua yaad

ख़ुश्बू सा बदन याद न साँसों की हवा याद
उजड़े हुए बाग़ों को कहाँ बाद-ए-सबा याद

आती है परेशानी तो आता है ख़ुदा याद
वर्ना नहीं दुनिया में कोई तेरे सिवा याद

जो भूले से भूले हैं मगर तेरे अलावा
इक बिछड़ा हुआ दिल हमें आता है सदा याद

मैं तो हूँ अब इक उम्र से पछतावों की ज़द में
क्या तुम को भी आती है कभी अपनी ख़ता याद

मुमकिन है भला कैसे इलाज-ए-ग़म-ए-जानाँ
जब कोई दवा याद न है कोई दुआ याद

  - Farhat Abbas Shah

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari