dil bhi aawaara nazar aawaara | दिल भी आवारा नज़र आवारा - Farhat Abbas Shah

dil bhi aawaara nazar aawaara
kat gaya saara safar aawaara

zindagi bhatka hua jungle hai
raah bechain shajar aawaara

rooh ki khidki se hum jhaankte hain
aur lagta hai nagar aawaara

tujh ko ma'aloom kahaan hoga ki shab
kaise karte hain basar aawaara

mujh ko ma'aloom hai apne baare
hoon bahut achha magar aawaara

ye alag baat ki bas pal-do-pal
laut ke aate hain ghar aawaara

दिल भी आवारा नज़र आवारा
कट गया सारा सफ़र आवारा

ज़िंदगी भटका हुआ जंगल है
राह बेचैन शजर आवारा

रूह की खिड़की से हम झाँकते हैं
और लगता है नगर आवारा

तुझ को मा'लूम कहाँ होगा कि शब
कैसे करते हैं बसर आवारा

मुझ को मा'लूम है अपने बारे
हूँ बहुत अच्छा मगर आवारा

ये अलग बात कि बस पल-दो-पल
लौट के आते हैं घर आवारा

- Farhat Abbas Shah
2 Likes

Beqarari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Beqarari Shayari Shayari