tu apne hone ka har ik nishaan sanbhaal ke mil | तू अपने होने का हर इक निशाँ सँभाल के मिल - Farhat Abbas Shah

tu apne hone ka har ik nishaan sanbhaal ke mil
yaqeen sanbhaal ke mil aur gumaan sanbhaal ke mil

hum apne baare kabhi mushta'il nahin hote
faqeer log hain hum se zabaan sanbhaal ke mil

vajood-e-waahima veeraaniyon mein ghoomta hai
ye be-karaan hai to phir be-karaan sanbhaal ke mil

ye marhale hain ajab is liye samundar se
hua ko thaam ke mil baadbaan sanbhaal ke mil

agarche dost hain saare hi aas-paas magar
usool ye hai ki teer-o-kamaan sanbhaal ke mil

tu kaisi ghair-yaqeeni fazaa mein milta hai
koi to lamha kabhi darmiyaan sanbhaal ke mil

phir us ke ba'ad to shaayad rahe rahe na rahe
tamaam umr ka sood-o-ziyaan sanbhaal ke mil

तू अपने होने का हर इक निशाँ सँभाल के मिल
यक़ीं सँभाल के मिल और गुमाँ सँभाल के मिल

हम अपने बारे कभी मुश्तइ'ल नहीं होते
फ़क़ीर लोग हैं हम से ज़बाँ सँभाल के मिल

वजूद-ए-वाहिमा वीरानियों में घूमता है
ये बे-कराँ है तो फिर बे-कराँ सँभाल के मिल

ये मरहले हैं अजब इस लिए समुंदर से
हुआ को थाम के मिल बादबाँ सँभाल के मिल

अगरचे दोस्त हैं सारे ही आस-पास मगर
उसूल ये है कि तीर-ओ-कमाँ सँभाल के मिल

तू कैसी ग़ैर-यक़ीनी फ़ज़ा में मिलता है
कोई तो लम्हा कभी दरमियाँ सँभाल के मिल

फिर उस के बा'द तो शायद रहे रहे न रहे
तमाम उम्र का सूद-ओ-ज़ियाँ सँभाल के मिल

- Farhat Abbas Shah
2 Likes

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari