maut ka waqt guzar jaayega | मौत का वक़्त गुज़र जाएगा

  - Farhat Abbas Shah

maut ka waqt guzar jaayega
ye bhi sailaab utar jaayega

aa gaya hai jo kisi sukh ka khayal
mujh ko chhuega to mar jaayega

kya khabar thi mera khaamosh makaan
apni awaaz se dar jaayega

aa gaya hai jo dukhon ka mausam
kuchh na kuchh to kahi dhar jaayega

jhooth bolega to kya hai is mein
koi vaada bhi to kar jaayega

us ke baare mein bahut sochta hoon
mujh se bichhda to kidhar jaayega

chal nikalne se bahut darta hoon
kaun phir laut ke ghar jaayega

मौत का वक़्त गुज़र जाएगा
ये भी सैलाब उतर जाएगा

आ गया है जो किसी सुख का ख़याल
मुझ को छुएगा तो मर जाएगा

क्या ख़बर थी मिरा ख़ामोश मकाँ
अपनी आवाज़ से डर जाएगा

आ गया है जो दुखों का मौसम
कुछ न कुछ तो कहीं धर जाएगा

झूट बोलेगा तो क्या है इस में
कोई वादा भी तो कर जाएगा

उस के बारे में बहुत सोचता हूँ
मुझ से बिछड़ा तो किधर जाएगा

चल निकलने से बहुत डरता हूँ
कौन फिर लौट के घर जाएगा

  - Farhat Abbas Shah

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari