tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke ba'ad | तू ने देखा है कभी एक नज़र शाम के बा'द - Farhat Abbas Shah

tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke ba'ad
kitne chup-chaap se lagte hain shajar shaam ke ba'ad

itne chup-chaap ki raaste bhi rahenge la-ilm
chhod jaayenge kisi roz nagar shaam ke ba'ad

main ne aise hi gunah teri judaai mein kiye
jaise toofaan mein koi chhod de ghar shaam ke ba'ad

shaam se pehle vo mast apni uraano mein raha
jis ke haathon mein the toote hue par shaam ke ba'ad

raat beeti to gine aable aur phir socha
kaun tha ba-is-e-aaghaaz-e-safar shaam ke ba'ad

tu hai suraj tujhe ma'aloom kahaan raat ka dukh
tu kisi roz mere ghar mein utar shaam ke ba'ad

laut aaye na kisi roz vo aawaara-mizaaj
khol rakhte hain isee aas pe dar shaam ke ba'ad

तू ने देखा है कभी एक नज़र शाम के बा'द
कितने चुप-चाप से लगते हैं शजर शाम के बा'द

इतने चुप-चाप कि रस्ते भी रहेंगे ला-इल्म
छोड़ जाएँगे किसी रोज़ नगर शाम के बा'द

मैं ने ऐसे ही गुनह तेरी जुदाई में किए
जैसे तूफ़ाँ में कोई छोड़ दे घर शाम के बा'द

शाम से पहले वो मस्त अपनी उड़ानों में रहा
जिस के हाथों में थे टूटे हुए पर शाम के बा'द

रात बीती तो गिने आबले और फिर सोचा
कौन था बाइस-ए-आग़ाज़-ए-सफ़र शाम के बा'द

तू है सूरज तुझे मा'लूम कहाँ रात का दुख
तू किसी रोज़ मिरे घर में उतर शाम के बा'द

लौट आए न किसी रोज़ वो आवारा-मिज़ाज
खोल रखते हैं इसी आस पे दर शाम के बा'द

- Farhat Abbas Shah
5 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari