kami na ki tire wahshi ne khaak udaane mein | कमी न की तिरे वहशी ने ख़ाक उड़ाने में - Firaq Gorakhpuri

kami na ki tire wahshi ne khaak udaane mein
junoon ka naam uchhalta raha zamaane mein

firaq daud gai rooh si zamaane mein
kahaan ka dard bhara tha mere fasaane mein

junoon se bhool hui dil pe chot khaane mein
firaq der abhi thi bahaar aane mein

vo koi rang hai jo ud na jaaye ai gul-e-tar
vo koi boo hai jo rusva na ho zamaane mein

vo aasteen hai koi jo lahu na de nikle
vo koi hasan hai jhijhke jo rang laane mein

ye gul khile hain ki choten jigar ki ubhri hain
nihaan bahaar thi bulbul tire taraane mein

bayaan-e-sham'a hai haasil yahi hai jalne ka
fana ki kaifiyatein dekh jhilmilaane mein

kasi ki haalat-e-dil sun ke uth gaeein aankhen
ki jaan pad gai hasrat bhare fasaane mein

usi ki sharh hai ye uthte dard ka aalam
jo dastaan thi nihaan tere aankh uthaane mein

garz ki kaat diye zindagi ke din ai dost
vo teri yaad mein hon ya tujhe bhulaane mein

humeen hain gul humeen bulbul humeen hawa-e-chaman
firaq khwaab ye dekha hai qaid-khaane mein

कमी न की तिरे वहशी ने ख़ाक उड़ाने में
जुनूँ का नाम उछलता रहा ज़माने में

'फ़िराक़' दौड़ गई रूह सी ज़माने में
कहाँ का दर्द भरा था मिरे फ़साने में

जुनूँ से भूल हुई दिल पे चोट खाने में
'फ़िराक़' देर अभी थी बहार आने में

वो कोई रंग है जो उड़ न जाए ऐ गुल-ए-तर
वो कोई बू है जो रुस्वा न हो ज़माने में

वो आस्तीं है कोई जो लहू न दे निकले
वो कोई हसन है झिझके जो रंग लाने में

ये गुल खिले हैं कि चोटें जिगर की उभरी हैं
निहाँ बहार थी बुलबुल तिरे तराने में

बयान-ए-शम्अ है हासिल यही है जलने का
फ़ना की कैफ़ियतें देख झिलमिलाने में

कसी की हालत-ए-दिल सुन के उठ गईं आँखें
कि जान पड़ गई हसरत भरे फ़साने में

उसी की शरह है ये उठते दर्द का आलम
जो दास्ताँ थी निहाँ तेरे आँख उठाने में

ग़रज़ कि काट दिए ज़िंदगी के दिन ऐ दोस्त
वो तेरी याद में हों या तुझे भुलाने में

हमीं हैं गुल हमीं बुलबुल हमीं हवा-ए-चमन
'फ़िराक़' ख़्वाब ये देखा है क़ैद-ख़ाने में

- Firaq Gorakhpuri
2 Likes

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari