aayi hai kuchh na pooch qayamat kahaan kahaan | आई है कुछ न पूछ क़यामत कहाँ कहाँ

  - Firaq Gorakhpuri

aayi hai kuchh na pooch qayamat kahaan kahaan
uf le gai hai mujh ko mohabbat kahaan kahaan

betaabi-o-sukoon ki hui manzilen tamaam
bahlaaen tujh se chhut ke tabi'at kahaan kahaan

furqat ho ya visaal wahi iztiraab hai
tera asar hai ai gham-e-furqat kahaan kahaan

har jumbish-e-nigaah mein sad-kaif be-khudi
bharti phiregi husn ki niyyat kahaan kahaan

raah-e-talab mein chhod diya dil ka saath bhi
firte liye hue ye museebat kahaan kahaan

dil ke ufuk tak ab to hain parchaaiyaan tiri
le jaaye ab to dekh ye vehshat kahaan kahaan

ai nargis-e-siyaah bata de tire nisaar
kis kis ko hai ye hosh ye ghaflat kahaan kahaan

nairang-e-ishq ki hai koi intiha ki ye
ye gham kahaan kahaan ye masarrat kahaan kahaan

begaangi par us ki zamaane se ehtiraaz
dar-parda us ada ki shikaayat kahaan kahaan

farq aa gaya tha daur-e-hayaat-o-mamaat mein
aayi hai aaj yaad vo soorat kahaan kahaan

jaise fana baqa mein bhi koi kami si ho
mujh ko padi hai teri zaroorat kahaan kahaan

duniya se ai dal itni tabi'at bhari na thi
tere liye uthaai nadaamat kahaan kahaan

ab imtiyaaz-e-ishq-o-hawas bhi nahin raha
hoti hai teri chashm-e-inaayat kahaan kahaan

har gaam par tareeq-e-mohabbat mein maut thi
is raah mein khule dar-e-rahmat kahaan kahaan

hosh-o-junoon bhi ab to bas ik baat hain firaq
hoti hai us nazar ki sharaarat kahaan kahaan

आई है कुछ न पूछ क़यामत कहाँ कहाँ
उफ़ ले गई है मुझ को मोहब्बत कहाँ कहाँ

बेताबी-ओ-सुकूँ की हुईं मंज़िलें तमाम
बहलाएँ तुझ से छुट के तबीअ'त कहाँ कहाँ

फ़ुर्क़त हो या विसाल वही इज़्तिराब है
तेरा असर है ऐ ग़म-ए-फ़ुर्क़त कहाँ कहाँ

हर जुम्बिश-ए-निगाह में सद-कैफ़ बे-ख़ुदी
भरती फिरेगी हुस्न की निय्यत कहाँ कहाँ

राह-ए-तलब में छोड़ दिया दिल का साथ भी
फिरते लिए हुए ये मुसीबत कहाँ कहाँ

दिल के उफ़क़ तक अब तो हैं परछाइयाँ तिरी
ले जाए अब तो देख ये वहशत कहाँ कहाँ

ऐ नर्गिस-ए-सियाह बता दे तिरे निसार
किस किस को है ये होश ये ग़फ़लत कहाँ कहाँ

नैरंग-ए-इश्क़ की है कोई इंतिहा कि ये
ये ग़म कहाँ कहाँ ये मसर्रत कहाँ कहाँ

बेगानगी पर उस की ज़माने से एहतिराज़
दर-पर्दा उस अदा की शिकायत कहाँ कहाँ

फ़र्क़ आ गया था दौर-ए-हयात-ओ-ममात में
आई है आज याद वो सूरत कहाँ कहाँ

जैसे फ़ना बक़ा में भी कोई कमी सी हो
मुझ को पड़ी है तेरी ज़रूरत कहाँ कहाँ

दुनिया से ऐ दल इतनी तबीअ'त भरी न थी
तेरे लिए उठाई नदामत कहाँ कहाँ

अब इम्तियाज़-ए-इश्क़-ओ-हवस भी नहीं रहा
होती है तेरी चश्म-ए-इनायत कहाँ कहाँ

हर गाम पर तरीक़-ए-मोहब्बत में मौत थी
इस राह में खुले दर-ए-रहमत कहाँ कहाँ

होश-ओ-जुनूँ भी अब तो बस इक बात हैं 'फ़िराक़'
होती है उस नज़र की शरारत कहाँ कहाँ

  - Firaq Gorakhpuri

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari