ab akshar chup chup se rahein hain yoonhi kabhu lab khole hain
pehle firaq ko dekha hota ab to bahut kam bolein hain
din mein ham ko dekhne waalo apne apne hain auqaat
jaao na tum in khushk aankhon par ham raaton ko ro len hain
fitrat meri ishq-o-mohabbat qismat meri tanhaai
kehne ki naubat hi na aayi ham bhi kisoo ke ho len hain
khunuk siyah mahke hue saaye phail jaayen hain jal-thal par
kin jatnon se meri ghazlein raat ka judaa khole hain
baagh mein vo khwaab-aavar aalam mauj-e-saba ke ishaaron par
daali daali nauras patte sahaj sahaj jab dolein hain
uf vo labon par mauj-e-tabassum jaise karvatein len kaunde
haaye vo aalam-e-jumbish-e-mizgaan jab fitne par taulein hain
naqsh-o-nigaar-e-ghazal mein jo tum ye shaadaabi paao ho
ham ashkon mein kaayenaat ke nok-e-qalam ko dubo len hain
in raaton ko hareem-e-naaz ka ik aalam hue hai nadeem
khilwat mein vo narm ungaliyaan band-e-qaba jab khole hain
gham ka fasana sunne waalo aakhir-e-shab aaraam karo
kal ye kahaani phir chhedenge ham bhi zara ab so len hain
ham log ab to ajnabi se hain kuchh to batao haal-e-'firaq
ab to tumheen ko pyaar karein hain ab to tumheen se bolein hain
अब अक्सर चुप चुप से रहें हैं यूँही कभू लब खोलें हैं
पहले 'फ़िराक़' को देखा होता अब तो बहुत कम बोलें हैं
दिन में हम को देखने वालो अपने अपने हैं औक़ात
जाओ न तुम इन ख़ुश्क आँखों पर हम रातों को रो लें हैं
फ़ितरत मेरी इश्क़-ओ-मोहब्बत क़िस्मत मेरी तंहाई
कहने की नौबत ही न आई हम भी किसू के हो लें हैं
ख़ुनुक सियह महके हुए साए फैल जाएँ हैं जल-थल पर
किन जतनों से मेरी ग़ज़लें रात का जूड़ा खोलें हैं
बाग़ में वो ख़्वाब-आवर आलम मौज-ए-सबा के इशारों पर
डाली डाली नौरस पत्ते सहज सहज जब डोलें हैं
उफ़ वो लबों पर मौज-ए-तबस्सुम जैसे करवटें लें कौंदे
हाए वो आलम-ए-जुम्बिश-ए-मिज़्गाँ जब फ़ित्ने पर तौलें हैं
नक़्श-ओ-निगार-ए-ग़ज़ल में जो तुम ये शादाबी पाओ हो
हम अश्कों में काएनात के नोक-ए-क़लम को डुबो लें हैं
इन रातों को हरीम-ए-नाज़ का इक आलम हुए है नदीम
ख़ल्वत में वो नर्म उँगलियाँ बंद-ए-क़बा जब खोलें हैं
ग़म का फ़साना सुनने वालो आख़िर-ए-शब आराम करो
कल ये कहानी फिर छेड़ेंगे हम भी ज़रा अब सो लें हैं
हम लोग अब तो अजनबी से हैं कुछ तो बताओ हाल-ए-'फ़िराक़'
अब तो तुम्हीं को प्यार करें हैं अब तो तुम्हीं से बोलें हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri
our suggestion based on Firaq Gorakhpuri
As you were reading Dard Shayari Shayari