sar par koi aasmaan rakh de | सर पर कोई आसमान रख दे

  - Gauhar Hoshiyarpuri

sar par koi aasmaan rakh de
ik munh mein magar zabaan rakh de

aa sulh nahin salaam to le
ye teer chadhi kamaan rakh de

itna bhi na be-lihaaz ho ja
thoda sa to khush-gumaan rakh de

tujh ko tiri hikmaten mubarak
ik haath pe ik jahaan rakh de

phir ham ko gada-e-rah bana kar
rah mein koi imtihaan rakh de

tafseel kahi garaan na pad jaaye
ik harf mein daastaan rakh de

ab dhyaan ki baat chhid gai to
kuchh is se alag bhi dhyaan rakh de

सर पर कोई आसमान रख दे
इक मुँह में मगर ज़बान रख दे

आ सुल्ह नहीं सलाम तो ले
ये तीर चढ़ी कमान रख दे

इतना भी न बे-लिहाज़ हो जा
थोड़ा सा तो ख़ुश-गुमान रख दे

तुझ को तिरी हिकमतें मुबारक
इक हाथ पे इक जहान रख दे

फिर हम को गदा-ए-रह बना कर
रह में कोई इम्तिहान रख दे

तफ़्सील कहीं गराँ न पड़ जाए
इक हर्फ़ में दास्तान रख दे

अब ध्यान की बात छिड़ गई तो
कुछ इस से अलग भी ध्यान रख दे

  - Gauhar Hoshiyarpuri

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari