teri zulfon kii aseeri se rihaa ho jaana
isse behtar hai mohabbat mein fana ho jaana
gar khata hi na karoon log malak samjhenge
aadmiyat hai mari mujhse khata ho jaana
yaad hai zakhm-e-dil-e-chaak ko raahat dena
aur phir baad-e-saba ka bhi hawa ho jaana
dekh kar mujh pe mere rab ka karam dushman kii
bad-duaaon ko bhi aata hai dua ho jaana
unka andaaz ki vo pehle manana mujhko
aur phir khud bhi usi dam mein khafa ho jaana
ek insaan hai ki insaan bhi banna mushkil
aur buton ke liye aasaan hai khuda ho jaana
tere jaane ka tasavvur hai tasavvur aisa
jaise ik rooh ka qaaleb se juda ho jaana
uski qismat mein zamaane kii shahanshaahi hai
jisko aata hai tere dar ka gada ho jaana
ishq karne se mujhe rok na waiz saalim
zeb deta nahin waajib ka qaza ho jaana
तेरी ज़ुल्फ़ों की असीरी से रिहा हो जाना
इससे बेहतर है मोहब्बत में फ़ना हो जाना
गर ख़ता ही न करूँ लोग मलक समझेंगे
आदमियत है मरी मुझसे ख़ता हो जाना
याद है ज़ख़्म-ए-दिल-ए-चाक को राहत देना
और फिर बाद-ए-सबा का भी हवा हो जाना
देख कर मुझ पे मेरे रब का करम दुश्मन की
बद-दुआओं को भी आता है दुआ हो जाना
उनका अंदाज़ कि वो पहले मनाना मुझको
और फिर ख़ुद भी उसी दम में ख़फ़ा हो जाना
एक इंसाँ है कि इंसान भी बनना मुश्किल
और बुतों के लिए आसाँ है ख़ुदा हो जाना
तेरे जाने का तसव्वुर है तसव्वुर ऐसा
जैसे इक रूह का क़ालिब से जुदा हो जाना
उसकी क़िस्मत में ज़माने की शहंशाही है
जिसको आता है तेरे दर का गदा हो जाना
इश्क़ करने से मुझे रोक न वाइज़ 'सालिम'
ज़ेब देता नहीं वाजिब का क़ज़ा हो जाना
As you were reading Shayari by Salim Husain
our suggestion based on Salim Husain
As you were reading undefined Shayari