baarood ke badle haathon mein aa jaaye kitaab to achha ho
ai kaash hamaari aankhon ka ikkeeswaan khwaab to achha ho
har patta na-aasooda hai maahaul-e-chaman aalooda hai
rah jaayen larzatee shaakhon par do chaar gulaab to achha ho
yun shor ka dariya bifara hai chidiyon ne chahkana chhod diya
khatre ke nishaan se neeche ab utre sailaab to achha ho
har saal ki aakhiri shaamon mein do chaar varq ud jaate hain
ab aur na bikhre rishton ki bosida kitaab to achha ho
har baccha aankhen khholte hi karta hai sawaal mohabbat ka
duniya ke kisi goshe se use mil jaaye jawaab to achha ho
बारूद के बदले हाथों में आ जाए किताब तो अच्छा हो
ऐ काश हमारी आँखों का इक्कीसवाँ ख़्वाब तो अच्छा हो
हर पत्ता ना-आसूदा है माहौल-ए-चमन आलूदा है
रह जाएँ लरज़ती शाख़ों पर दो चार गुलाब तो अच्छा हो
यूँ शोर का दरिया बिफरा है चिड़ियों ने चहकना छोड़ दिया
ख़तरे के निशान से नीचे अब उतरे सैलाब तो अच्छा हो
हर साल की आख़िरी शामों में दो चार वरक़ उड़ जाते हैं
अब और न बिखरे रिश्तों की बोसीदा किताब तो अच्छा हो
हर बच्चा आँखें खोलते ही करता है सवाल मोहब्बत का
दुनिया के किसी गोशे से उसे मिल जाए जवाब तो अच्छा हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghulam Mohammad Qasir
our suggestion based on Ghulam Mohammad Qasir
As you were reading Rishta Shayari Shayari