nazar nazar mein ada-e-jamaal rakhte the
ham ek shakhs ka kitna khayal rakhte the
jabeen pe aane na dete the ik shikan bhi kabhi
agarche dil mein hazaaron malaal rakhte the
khushi usi ki hamesha nazar mein rahti thi
aur apni quwwat-e-gham bhi bahaal rakhte the
bas ishtiyaq-e-takallum mein baar-ha ham log
jawaab dil mein zabaan par sawaal rakhte the
usi se karte the ham roz o shab ka andaaza
zameen pe rah ke vo suraj ki chaal rakhte the
junoon ka jaam mohabbat ki may khird ka khumaar
humeen the vo jo ye saare kamaal rakhte the
chhupa ke apni sisakti sulagti sochon se
mohabbaton ke urooj o zawaal rakhte the
kuchh un ka husn bhi tha maavra misaalon se
kuchh apna ishq bhi ham be-misaal rakhte the
khata nahin jo khile phool raah-e-sarsar mein
ye jurm hai ki vo fikr-e-maal rakhte the
नज़र नज़र में अदा-ए-जमाल रखते थे
हम एक शख़्स का कितना ख़याल रखते थे
जबीं पे आने न देते थे इक शिकन भी कभी
अगरचे दिल में हज़ारों मलाल रखते थे
ख़ुशी उसी की हमेशा नज़र में रहती थी
और अपनी क़ुव्वत-ए-ग़म भी बहाल रखते थे
बस इश्तियाक़-ए-तकल्लुम में बार-हा हम लोग
जवाब दिल में ज़बाँ पर सवाल रखते थे
उसी से करते थे हम रोज़ ओ शब का अंदाज़ा
ज़मीं पे रह के वो सूरज की चाल रखते थे
जुनूँ का जाम मोहब्बत की मय ख़िरद का ख़ुमार
हमीं थे वो जो ये सारे कमाल रखते थे
छुपा के अपनी सिसकती सुलगती सोचों से
मोहब्बतों के उरूज ओ ज़वाल रखते थे
कुछ उन का हुस्न भी था मावरा मिसालों से
कुछ अपना इश्क़ भी हम बे-मिसाल रखते थे
ख़ता नहीं जो खिले फूल राह-ए-सरसर में
ये जुर्म है कि वो फ़िक्र-ए-मआल रखते थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghulam Mohammad Qasir
our suggestion based on Ghulam Mohammad Qasir
As you were reading Taareef Shayari Shayari